ajnabi kis KHwab ki duniya se aae ho
ajnabī kis ḳhvāb kī duniyā se aa.e ho
thake lagte ho
āñkhoñ meñ ka.ī sadiyoñ kī nīndeñ jāgtī haiñ
fāsloñ kī gard palkoñ par jamī hai
ajnabī! kaisī masāfat se guzar kar aa rahe ho
kaun se desoñ ke qisse
dard kī ḳhāmosh lai meñ gā rahe ho
duur se nazdīk aate jā rahe ho
ajnabī aao!
kisī agle safar kī raat se pahle
zarā ārām kar lo
phir suneñge dāstāñ tum se anokhī sar-zamīnoñ kī
havā meñ tairte rañgīñ makānoñ kī makīnoñ kī
paḌāv umr bhar kā hai
alaao tez hone do
mohabbat-ḳhez hone do
shanāsā ḳhvāhishoñ kī ḳhushbueñ jalne lagī haiñ
ajnabiyat qurbatoñ ke lams meñ sarshār
gum-gashta zamāne DhūñDhtī hai
zindagī dukh dard bhī qarnoñ purāne DhūñDhtī hai!!
ajnabi kis KHwab ki duniya se aae ho
thake lagte ho
aankhon mein kai sadiyon ki ninden jagti hain
faslon ki gard palkon par jami hai
ajnabi! kaisi masafat se guzar kar aa rahe ho
kaun se deson ke qisse
dard ki KHamosh lai mein ga rahe ho
dur se nazdik aate ja rahe ho
ajnabi aao!
kisi agle safar ki raat se pahle
zara aaram kar lo
phir sunenge dastan tum se anokhi sar-zaminon ki
hawa mein tairte rangin makanon ki makinon ki
paDaw umr bhar ka hai
alao tez hone do
mohabbat-KHez hone do
shanasa KHwahishon ki KHushbuen jalne lagi hain
ajnabiyat qurbaton ke lams mein sarshaar
gum-gashta zamane DhunDhti hai
zindagi dukh dard bhi qarnon purane DhunDhti hai!!
- Book : Arabchi so gia hai (Pg. 75)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.