ajnabi lamhe
havā ke dosh par uḌte hue ye ajnabī lamhe
kahīñ aisā na ho parchhā.iyāñ de kar guzar jaa.eñ
hameñ Dastī huī tanhā.iyāñ de kar guzar jaa.eñ
Dhalak jaatā hai ik ik pal pe sar se reshmī āñchal
kalā.ī meñ sunahrī chūḌiyāñ khankā.ī jaatī haiñ
chaTak uThtī hoñ jaise narm kaliyāñ shāḳh-sāroñ par
hinā.ī uñgliyāñ is naaz se chaTḳhā.ī jaatī haiñ
nasha sā bhar diyā āñkhoñ meñ sharm-e-ajnabiyyat ne
adā.eñ aur ziyāda ḳhūbsūrat hotī jaatī haiñ
ta.āruf be-ta.āruf ho chukā aao hañseñ boleñ
ki ab ḳhāmoshiyāñ baḌh kar qayāmat hotī jaatī haiñ
mulāqātoñ ke dāman meñ tabassum bhī hai aañsū bhī
qarār-e-jāñ mayassar ho ki zaḳhm-e-dil mile ham ko
uḌe jaate haiñ par tole hue ye ajnabī lamhe
ḳhudā ma.alūm kis aalam meñ mustaqbil mile ham ko
mujhe tum ajnabī kah lo tumheñ maiñ ajnabī kah luuñ
magar apnā.iyat ke tāne-bāne bun rahā huuñ maiñ
mirī ḳhāmosh nazroñ ke taqāze tum pe vāzeh haiñ
tumhāre murta.ish hoñToñ ke naġhme sun rahā huuñ maiñ
tamanna ke ye lamhe jin meñ gīrā.ī hai sadiyoñ kī
hamārī ruuh kī ḳhalvat-sarā se ho ke aa.e haiñ
zabāñ kholo kaho maiñ in hasīñ lamhoñ se kyā kah duuñ
ye lamhe pūchhte haiñ kyā abhī tak ham parā.e haiñ
havā ke dosh par uḌte hue ye ajnabī lamhe
hawa ke dosh par uDte hue ye ajnabi lamhe
kahin aisa na ho parchhaiyan de kar guzar jaen
hamein Dasti hui tanhaiyan de kar guzar jaen
Dhalak jata hai ek ek pal pe sar se reshmi aanchal
kalai mein sunahri chuDiyan khankai jati hain
chaTak uThti hon jaise narm kaliyan shaKH-saron par
hinai ungliyan is naz se chaTKHai jati hain
nasha sa bhar diya aankhon mein sharm-e-ajnabiyyat ne
adaen aur ziyaada KHubsurat hoti jati hain
taaruf be-taaruf ho chuka aao hansen bolen
ki ab KHamoshiyan baDh kar qayamat hoti jati hain
mulaqaton ke daman mein tabassum bhi hai aansu bhi
qarar-e-jaan mayassar ho ki zaKHm-e-dil mile hum ko
uDe jate hain par tole hue ye ajnabi lamhe
KHuda malum kis aalam mein mustaqbil mile hum ko
mujhe tum ajnabi kah lo tumhein main ajnabi kah lun
magar apnaiyat ke tane-bane bun raha hun main
meri KHamosh nazron ke taqaze tum pe wazeh hain
tumhaare murtaish honTon ke naghme sun raha hun main
tamanna ke ye lamhe jin mein girai hai sadiyon ki
hamari ruh ki KHalwat-sara se ho ke aae hain
zaban kholo kaho main in hasin lamhon se kya kah dun
ye lamhe puchhte hain kya abhi tak hum parae hain
hawa ke dosh par uDte hue ye ajnabi lamhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.