ajnabi moD par
hai kahāñ vo samāñ
dard ke nuur meñ dhul ke nikhre hue jism-o-jāñ
be-hisī kī chaTāneñ girātī huī
raah sañg-e-ḳhār haTātī huī
karb-e-taḳhlīq kī naddiyāñ
ruuh ke zaḳhm dhotī huī
tund jazbāt kī badliyāñ
ābshār-e-ravāñ
vo matā-e-girāñ
roz-o-shab kī faromāya gardān meñ kho ga.ī
lazzat-e-vasl kī bekalī
hijr-e-betāb kī raushnī
manzil-e-be-nishāñ kī kasak
an-sune giit kī naġhmagī
dasht-e-ayyām ke jaane kis moḌ par
ajnabī rahguzāroñ meñ gum ho ga.ī
dil gayā dil kī vo be-qarārī ga.ī
qalb-e-majrūh kī sogvārī ga.ī
nāla-e-shab gayā be-sabab ashk-bārī ga.ī
jāgne ke jo āsār the so ga.e
sub.h-o-shām ajnabī ho ga.e
ai ḳhudā
ai ḳhudā
azhdahām-e-tijārat meñ tū hī batā
ḳhvāb āñkhoñ meñ kaise basā.eñge ham
kaun sī raah par
garm ashkoñ ke motī bichhā.eñge ham
aah kis aarzū ke liye
sar-e-mizhgāñ charāġh-e-basīrat jalā.eñge ham
ishq meñ kis tasavvur ke
ab jaañ se jā.eñge ham
hai kahan wo saman
dard ke nur mein dhul ke nikhre hue jism-o-jaan
be-hisi ki chaTanen giraati hui
rah sang-e-KHar haTati hui
karb-e-taKHliq ki naddiyan
ruh ke zaKHm dhoti hui
tund jazbaat ki badliyan
aabshaar-e-rawan
wo mata-e-giran
roz-o-shab ki faromaya gardan mein kho gai
lazzat-e-wasl ki bekali
hijr-e-betab ki raushni
manzil-e-be-nishan ki kasak
an-sune git ki naghmagi
dasht-e-ayyam ke jaane kis moD par
ajnabi rahguzaron mein gum ho gai
dil gaya dil ki wo be-qarari gai
qalb-e-majruh ki sogwari gai
nala-e-shab gaya be-sabab ashk-bari gai
jagne ke jo aasar the so gae
subh-o-sham ajnabi ho gae
ai KHuda
ai KHuda
azhdaham-e-tijarat mein tu hi bata
KHwab aankhon mein kaise basaenge hum
kaun si rah par
garm ashkon ke moti bichhaenge hum
aah kis aarzu ke liye
sar-e-mizhgan charagh-e-basirat jalaenge hum
ishq mein kis tasawwur ke
ab jaan se jaenge hum
- Book : Aatish Zeer-e-paa (Pg. 63)
- Author : Sajidah Zaidi
- Publication : Sajidah Zaidi, Aligarah (1995)
- Edition : 1995
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.