ajnabi
din bhar log mire
kapḌoñ se milte haiñ
merī Topī se
haath milā kar hañste haiñ
mere juute pahan ke merī
sāñsoñ par chalte haiñ
apne aap se kab bichhḌā thā
din ke is amboh meñ mujh ko
kuchh bhī yaad nahīñ aatā
raat ko apne nañge jism ke
bistar par
niind nahīñ aatī
din bhar log mere
kapDon se milte hain
meri Topi se
hath mila kar hanste hain
mere jute pahan ke meri
sanson par chalte hain
apne aap se kab bichhDa tha
din ke is amboh mein mujh ko
kuchh bhi yaad nahin aata
raat ko apne nange jism ke
bistar par
nind nahin aati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.