ajnabi
ajnabī rahne de mujh ko, mujhe apnā na banā
meñ tirī maañg sitāroñ se nahīñ bhar saktā
tere dāman ko bahāroñ se nahīñ bhar saktā
merī be-rañg fazāoñ meñ kahāñ shaam o sahar
mere tārīk gharauñde meñ kahāñ terā guzar
mere sahrā se gulistānoñ kī ummīd na kar
ujḌī duniyā se shabistānoñ kī ummīd na kar
ajnabī rahne de mujh ko, mujhe apnā na banā
merī ḳhātir ye mahl aur ye mehrāb na chhoḌ
ḳhvāb-gāhoñ ke masarrat se bhare ḳhvāb na chhoḌ
raushnī chhoḌ ke dar aa na siyah-ḳhāne meñ
sham.a raushan ho bhalā kyuuñ kisī vīrāne meñ
maiñ tujhe koī hasīñ taaj nahīñ de saktā
kal to kal hai maiñ tujhe aaj nahīñ de saktā
ajnabī rahne de mujh ko, mujhe apnā na banā
ajnabi rahne de mujh ko, mujhe apna na bana
mein teri mang sitaron se nahin bhar sakta
tere daman ko bahaaron se nahin bhar sakta
meri be-rang fazaon mein kahan sham o sahar
mere tarik gharaunde mein kahan tera guzar
mere sahra se gulistanon ki ummid na kar
ujDi duniya se shabistanon ki ummid na kar
ajnabi rahne de mujh ko, mujhe apna na bana
meri KHatir ye mahl aur ye mehrab na chhoD
KHwab-gahon ke masarrat se bhare KHwab na chhoD
raushni chhoD ke dar aa na siyah-KHane mein
shama raushan ho bhala kyun kisi virane mein
main tujhe koi hasin taj nahin de sakta
kal to kal hai main tujhe aaj nahin de sakta
ajnabi rahne de mujh ko, mujhe apna na bana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.