ajnabi shahar
vo peḌ ab kaT gayā hai
jis ke tale javānī ke garm lamhoñ ko ThanDe saa.e mile
jo ik moḌ kā nishāñ thā
jahāñ se ham ik na.ī jihat ko chale the
ab vo nishān bhī miT gayā
vahāñ koltār kī ik saḌak hai
jo garmiyoñ meñ pighlī huī sī rahtī hai
aadmī bhī pighal rahā hai
vahāñ par ab motoroñ kā dariyā sā bah rahā hai
aur un ke pīchhe dhueñ ke parde paḌe haiñ
koī na un ko pahchān paa.e
ik shor hornoñ kā bapā hai
koī na sun sake chahchahe parindoñ ke
abtarī hai
magar maiñ ik chaap sun rahā huuñ
vo chaap jaise koī bahut duur jā chukā hai
wo peD ab kaT gaya hai
jis ke tale jawani ke garm lamhon ko ThanDe sae mile
jo ek moD ka nishan tha
jahan se hum ek nai jihat ko chale the
ab wo nishan bhi miT gaya
wahan koltar ki ek saDak hai
jo garmiyon mein pighli hui si rahti hai
aadmi bhi pighal raha hai
wahan par ab motoron ka dariya sa bah raha hai
aur un ke pichhe dhuen ke parde paDe hain
koi na un ko pahchan pae
ek shor hornon ka bapa hai
koi na sun sake chahchahe parindon ke
abtari hai
magar main ek chap sun raha hun
wo chap jaise koi bahut dur ja chuka hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.