ajnabi shahr
ajnabī shahr nāzāñ na ho
ham ġharīb-ul-vatan tere dāman meñ aa.e to haiñ
tujh ko beche to haiñ apne ilm-o-hunar sanadeñ
ham ko iqrār hai
terī raunaq se kab ham ko inkār hai
jaane kyoñ
har qadam par ye ehsās hai
ik na.ī car bankoñ ke qarze kyā yahī apnī mīrās hai
apnī tahzīb maz.hab zabāñ
haath meñ ḳhālī kashkol thāme
saath chalte haiñ kyoñ
ik ḳhalish dil meñ rahtī hai kyoñ
ki ye dollar hamārā ḳhudā to nahīñ
ajnabī shahr kaise batā.eñ
tere dāman kī rangīniyāñ dekh kar
yaad aate haiñ kyoñ apne vo ham-vatan
jin ke chehre dhuāñ
jism lāġhar
ḳhamīda kamar
zindagī rā.egāñ
ajnabī shahr ab kyā batā.eñ
ham ne kyoñ chhoḌ dī
apne āñgan kī 'usrat-zada āfiyat
apne ghar apne mausam apne naġhmoñ kī mastī
kis ko ilzām deñ
ḳhud ko
hālāt ko
zindagī kī na.ī tez raftār ko
yā ki un kargasoñ ko jo siyāsat kī gaddī pe haiñ jalva-gar
ajnabi shahr nazan na ho
hum gharib-ul-watan tere daman mein aae to hain
tujh ko beche to hain apne ilm-o-hunar sanaden
hum ko iqrar hai
teri raunaq se kab hum ko inkar hai
jaane kyon
har qadam par ye ehsas hai
ek nai car bankon ke qarze kya yahi apni miras hai
apni tahzib mazhab zaban
hath mein KHali kashkol thame
sath chalte hain kyon
ek KHalish dil mein rahti hai kyon
ki ye dollar hamara KHuda to nahin
ajnabi shahr kaise bataen
tere daman ki ranginiyan dekh kar
yaad aate hain kyon apne wo ham-watan
jin ke chehre dhuan
jism laghar
KHamida kamar
zindagi raegan
ajnabi shahr ab kya bataen
hum ne kyon chhoD di
apne aangan ki 'usrat-zada aafiyat
apne ghar apne mausam apne naghmon ki masti
kis ko ilzam den
KHud ko
haalat ko
zindagi ki nai tez raftar ko
ya ki un kargason ko jo siyasat ki gaddi pe hain jalwa-gar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.