ajnabi shahr mein
ajnabī shahr meñ
ajnabiyyat kā ehsās hotā nahīñ
phuul patte hare peḌ parchhā.iyāñ
ūñchī nīchī imārāt saḌkeñ galī kūche bāzār
muskurāte hue rāste
kitne mānūs haiñ
har taraf rūh-parvar sukūñ
dil kī gahrā.iyoñ se muḳhātib hai
ThanDī havā
zehn ke tāne-bāne badalne lagī
zinda rahne kī ḳhvāhish machalne lagī
raat Dhalne lagī
zindagī bhuul hai
zindagī phuul hai
phuul kā rang hai
phuul kī baas hai
dil mire paas hai
ajnabi shahr mein
ajnabiyyat ka ehsas hota nahin
phul patte hare peD parchhaiyan
unchi nichi imaraat saDken gali kuche bazar
muskuraate hue raste
kitne manus hain
har taraf ruh-parwar sukun
dil ki gahraiyon se muKHatib hai
ThanDi hawa
zehn ke tane-bane badalne lagi
zinda rahne ki KHwahish machalne lagi
raat Dhalne lagi
zindagi bhul hai
zindagi phul hai
phul ka rang hai
phul ki bas hai
dil mere pas hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.