ajnabi wadiyon mein
ai ḳhushā-azm parvāz kā ye safar
jhilmilā.ī jahān-e-digar kī sahar
vā huī aadmī par na.ī rahguzar
raqs kar zindagī zindagī raqs kar
ye mazāq-e-talab ye shu.ūr-e-junūñ
sa.ī-e-fikr-o-nazar kā anokhā fusūñ
kar gayā baḳht-e-ādam ko tābinda-tar
raqs kar zindagī zindagī raqs kar
taaj azmat kā dhartī ko pahnā diyā
shauq ko ik hasīñ isti.āra diyā
justujū ne banāyā nayā mustaqar
raqs kar zindagī zindagī raqs kar
zauq-e-betāb ko sho.ala-sāmāñ kiyā
ik na.ī anjuman meñ charāġhāñ kiyā
ajnabī vādiyoñ meñ bajāyā gajar
raqs kar zindagī zindagī raqs kar
kār-e-parvāz hai bāzū-e-irtiqā
de rahā hai ḳhalāoñ se koī sadā
āzmāo tavānā.ī-e-bāl-o-par
raqs kar zindagī zindagī raqs kar
aadmī apnī duniyā kā muḳhtār hai
aadmī apne fardā kā me.amār hai
aadmī ḳhud-nigar aadmī dīda-var
raqs kar zindagī zindagī raqs kar
aadmī ho gayā faḳhr-e-kaun-o-makāñ
ho ga.ī ishq kī har nazar jāvedāñ
ho ga.ī husn kī har adā mo'atabar
raqs kar zindagī zindagī raqs kar
vaqt ke lab pe hai naġhma-e-sarmadī
daur-e-hāzir kā in.aam hai ye sadī
qalb-e-tārīḳh dhaḌkā ba-tarz-e-digar
raqs kar zindagī zindagī raqs kar
ai KHusha-azm parwaz ka ye safar
jhilmilai jahan-e-digar ki sahar
wa hui aadmi par nai rahguzar
raqs kar zindagi zindagi raqs kar
ye mazaq-e-talab ye shuur-e-junun
sai-e-fikr-o-nazar ka anokha fusun
kar gaya baKHt-e-adam ko tabinda-tar
raqs kar zindagi zindagi raqs kar
taj azmat ka dharti ko pahna diya
shauq ko ek hasin istiara diya
justuju ne banaya naya mustaqar
raqs kar zindagi zindagi raqs kar
zauq-e-betab ko shoala-saman kiya
ek nai anjuman mein charaghan kiya
ajnabi wadiyon mein bajaya gajar
raqs kar zindagi zindagi raqs kar
kar-e-parwaz hai bazu-e-irtiqa
de raha hai KHalaon se koi sada
aazmao tawanai-e-baal-o-par
raqs kar zindagi zindagi raqs kar
aadmi apni duniya ka muKHtar hai
aadmi apne farda ka meamar hai
aadmi KHud-nigar aadmi dida-war
raqs kar zindagi zindagi raqs kar
aadmi ho gaya faKHr-e-kaun-o-makan
ho gai ishq ki har nazar jawedan
ho gai husn ki har ada mo'atabar
raqs kar zindagi zindagi raqs kar
waqt ke lab pe hai naghma-e-sarmadi
daur-e-hazir ka inam hai ye sadi
qalb-e-tariKH dhaDka ba-tarz-e-digar
raqs kar zindagi zindagi raqs kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.