vaqt kī jādūgarī ik saal meñ
har galī har moḌ mere shahr kā
pūchhtā hai mujh se sāhab kaun ho
jis ko apnā ghar kahā kartā thā maiñ
jis kī vīrānī se dil mānūs thā
aaj us kī ek ik dīvār se
ye sadā aatī hai sāhab kaun ho
kyā yahī gosha hai vo jis meñ mirī
sar-ba-zānū an-ginat rāteñ kaTīñ
jis se apnā ġham kahā kartā thā maiñ
jis meñ mere dil ko miltā thā sukūñ
aaj kyuuñ us kī muravvat mar ga.ī
dosto aisā bhī kyā is saal meñ
is qadar ḳhud ko bhulā baiThe ho tum
maiñ vahī huuñ ġhaur se dekho zarā
maiñ jise tum ne hazāroñ ġham diye
jis ke hoñToñ kā tabassum aaj bhī
tum se kahtā hai mujhe pahchān lo
waqt ki jadugari ek sal mein
har gali har moD mere shahr ka
puchhta hai mujh se sahab kaun ho
jis ko apna ghar kaha karta tha main
jis ki virani se dil manus tha
aaj us ki ek ek diwar se
ye sada aati hai sahab kaun ho
kya yahi gosha hai wo jis mein meri
sar-ba-zanu an-ginat raaten kaTin
jis se apna gham kaha karta tha main
jis mein mere dil ko milta tha sukun
aaj kyun us ki murawwat mar gai
dosto aisa bhi kya is sal mein
is qadar KHud ko bhula baiThe ho tum
main wahi hun ghaur se dekho zara
main jise tum ne hazaron gham diye
jis ke honTon ka tabassum aaj bhi
tum se kahta hai mujhe pahchan lo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.