Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

akaD shah aur baqraid

Mohammad Osama Sarsari

akaD shah aur baqraid

Mohammad Osama Sarsari

MORE BYMohammad Osama Sarsari

    nazar aayā chāñd aur milī ye navīd

    ki das din ke baad aa.egī baqar.īd

    akaḌ shaah dil meñ lagā sochne

    isī soch meñ khā gayā sau chane

    ki is baar qurbānī maiñ bhī karūñ

    ḳhudā se mohabbat dam maiñ bharūñ

    irāda ye zāhir kiyā dost par

    ki manDī se laate haiñ ik jānvar

    chunāñche akaḌ shaah manDī gayā

    bahut moTā taaza bakrā liyā

    ghumāyā use ḳhuub akaḌ shaah ne

    rakhā us ko mahbūb akaḌ shaah ne

    akaḌ shaah lagvātā chakkar use

    to bakrā lagātā thā Takkar use

    bil-āḳhir phir aa gayā yaum-e-eid

    vo din jo hamāre liye hai sa.iid

    kahā dost ne us se ba.ad-az-namāz

    qasā.ī kahāñ hai batā do ye raaz

    akaḌ kar vo bolā ye mushkil nahīñ

    ise zab.h maiñ ḳhud karūñgā yahīñ

    ye kah kar vo mazbah jānib baḌhā

    jahāñ haTTā-kaTTā thā bakrā khaḌā

    akaḌ shaah ne gardan se jakḌā use

    lagā kar bahut zor pakḌā use

    girāne koshish vo karne lagā

    vahīñ ruk gayā jo guzarne lagā

    akaḌ shaah ab thā pakaḌ shaah par

    chaḌh aayā vo bakrā akaḌ shaah par

    kahā ek ne phir ye bhaa.ī hai kaun

    ye bakre se lāġhar qasā.ī hai kaun

    mujhe baat kahnī thī ye aap se

    ho jo kaam jis vo sājhe use

    qasā.ī ko phir us ne bulvā liyā

    jhukā kar nazar ghar rasta liyā

    usāma se qisse akaḌ shaah ke

    na jāoge sun kar binā vaah ke

    nazar aaya chand aur mili ye nawid

    ki das din ke baad aaegi baqarid

    akaD shah dil mein laga sochne

    isi soch mein kha gaya sau chane

    ki is bar qurbani main bhi karun

    KHuda se mohabbat ka dam main bharun

    irada ye zahir kiya dost par

    ki manDi se late hain ek jaanwar

    chunanche akaD shah manDi gaya

    bahut moTa taza sa bakra liya

    ghumaya use KHub akaD shah ne

    rakha us ko mahbub akaD shah ne

    akaD shah lagwata chakkar use

    to bakra lagata tha Takkar use

    bil-aKHir phir aa hi gaya yaum-e-eid

    wo din jo hamare liye hai said

    kaha dost ne us se baad-az-namaz

    qasai kahan hai bata do ye raaz

    akaD kar wo bola ye mushkil nahin

    ise zabh main KHud karunga yahin

    ye kah kar wo mazbah ki jaanib baDha

    jahan haTTa-kaTTa tha bakra khaDa

    akaD shah ne gardan se jakDa use

    laga kar bahut zor pakDa use

    girane ki koshish wo karne laga

    wahin ruk gaya jo guzarne laga

    akaD shah ab tha pakaD shah par

    chaDh aaya wo bakra akaD shah par

    kaha ek ne phir ye bhai hai kaun

    ye bakre se laghar qasai hai kaun

    mujhe baat kahni thi ye aap se

    ho jo kaam jis ka wo sajhe use

    qasai ko phir us ne bulwa liya

    jhuka kar nazar ghar ka rasta liya

    usama se qisse akaD shah ke

    na jaoge sun kar bina wah ke

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now