akaD shah aur mah-e-ramzan
akaḌ shaah behad pareshān thā
ki ab jā rahā māh-e-shābān thā
bil-āḳhir huā ḳhatm shābān bhī
aur aayā mahīnoñ kā sultān bhī
lagā karne fauran vo tayyāriyāñ
vo le aayā khajlā bhī aur pheniyāñ
akaḌ shaah ne jam jam ke kiiñ sehriyāñ
talāfī ko phir kar liiñ iftāriyāñ
ye roze lage us ko bhārī baḌe
mashāġhil sabhī tark karne paḌe
kahā sab se mujh ko baḌe kaam haiñ
ibādat riyāzat ke ayyām haiñ
bil-āḳhir rakhe us ne roze sabhī
dikhā chāñd phir aa ga.ī iid bhī
to aam aur chashmoñ se vāqif the jo
diyā fitra sab ne akaḌ shaah ko
khilī us ke dil meñ ḳhushī kī kalī
vo samjhā use us kī eidī milī
namāz us ne phir iid kī kī adā
sunī bhāñjoñ kī phir us ne sadā
akaḌ māmūñ eidī hamārī kahāñ
akaḌ shaah ko thā na is kā gumāñ
kisī ko nahīñ dī thī eidī kabhī
magar bachche chaḌh dauḌe ab ke sabhī
mile us ko fitre meñ jo chaar sau
har ik ko diye chār-o-nā-chār sau
'usāma' se qisse akaḌ shaah ke
na jāoge sun kar binā vaah ke
akaD shah behad pareshan tha
ki ab ja raha mah-e-shaban tha
bil-aKHir hua KHatm shaban bhi
aur aaya mahinon ka sultan bhi
laga karne fauran wo tayyariyan
wo le aaya khajla bhi aur pheniyan
akaD shah ne jam jam ke kin sehriyan
talafi ko phir kar lin iftariyan
ye roze lage us ko bhaari baDe
mashaghil sabhi tark karne paDe
kaha sab se mujh ko baDe kaam hain
ibaadat riyazat ke ayyam hain
bil-aKHir rakhe us ne roze sabhi
dikha chand phir aa gai id bhi
to aam aur chashmon se waqif the jo
diya fitra sab ne akaD shah ko
khili us ke dil mein KHushi ki kali
wo samjha use us ki eidi mili
namaz us ne phir id ki ki ada
suni bhanjon ki phir us ne sada
akaD mamun eidi hamari kahan
akaD shah ko tha na is ka guman
kisi ko nahin di thi eidi kabhi
magar bachche chaDh dauDe ab ke sabhi
mile us ko fitre mein jo chaar sau
har ek ko diye chaar-o-na-chaar sau
'usama' se qisse akaD shah ke
na jaoge sun kar bina wah ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.