akaD shah kahilon ka sardar
kiyā kaam jo bhī to khaa.ī shikast
bil-āḳhir huī us kī himmat hī past
akaḌ shaah bantā gayā postī
mohalle ke sustoñ se kī dostī
sabhī sust mil-jul ke rahne lage
mashaqqat vo aapas meñ sahne lage
unhī kāhiloñ meñ thā ik māl-dār
jo sustī kā thā nisbatan kam shikār
kahā us ne sab kāhiloñ se suno
tum apne liye ek afsar chuno
hai us ke liye kaun tayyār ab
jise ham kaheñ apnā sardār ab
uThāyā har ik sust ne sun ke haath
akaḌ shaah shāmil thā un sab ke saath
magar haath us ne uThāyā nahīñ
zabāñ se bhī us ne batāyā nahīñ
akaḌ shaah se pūchhā phir ek ne
ki haath aap ke kyoñ nahīñ haiñ uThe
akaḌ shaah bolā ai mere aziiz
imārat nahīñ chhoḌ dene kī chiiz
magar merā sustī ne chhoḌā na saath
faqat kāhilī se uThāyā na haath
sabhī us kī sustī ke qaa.il hue
usī kī imārat pe maa.il hue
akaḌ shaah ko dī ga.ī ek car
akaḌ kar huā us meñ ik din savār
rakhī us ne pahle to raftār kam
magar tez kī us ne phir ek dam
jo baiThe the sāthī vo hairāñ hue
ki tezī se us kī pareshāñ hue
phir ik sust ne kar ke himmat kahā
achānak ye tezī hai kyā mājrā
akaḌ shaah ne rah ke chup thoḌī der
kahā acceletor pe rakhā thā pair
magar phir jo sustī rukāvaT banī
to raftār gaaḌī kī baḌhtī rahī
'usāma' se qisse akaḌ shaah ke
na jāoge sun kar binā vaah ke
kiya kaam jo bhi to khai shikast
bil-aKHir hui us ki himmat hi past
akaD shah banta gaya posti
mohalle ke suston se ki dosti
sabhi sust mil-jul ke rahne lage
mashaqqat wo aapas mein sahne lage
unhi kahilon mein tha ek mal-dar
jo susti ka tha nisbatan kam shikar
kaha us ne sab kahilon se suno
tum apne liye ek afsar chuno
hai us ke liye kaun tayyar ab
jise hum kahen apna sardar ab
uThaya har ek sust ne sun ke hath
akaD shah shamil tha un sab ke sath
magar hath us ne uThaya nahin
zaban se bhi us ne bataya nahin
akaD shah se puchha phir ek ne
ki hath aap ke kyon nahin hain uThe
akaD shah bola ai mere aziz
imarat nahin chhoD dene ki chiz
magar mera susti ne chhoDa na sath
faqat kahili se uThaya na hath
sabhi us ki susti ke qail hue
usi ki imarat pe mail hue
akaD shah ko di gai ek car
akaD kar hua us mein ek din sawar
rakhi us ne pahle to raftar kam
magar tez ki us ne phir ek dam
jo baiThe the sathi wo hairan hue
ki tezi se us ki pareshan hue
phir ek sust ne kar ke himmat kaha
achanak ye tezi hai kya majra
akaD shah ne rah ke chup thoDi der
kaha acceletor pe rakha tha pair
magar phir jo susti rukawaT bani
to raftar gaDi ki baDhti rahi
'usama' se qisse akaD shah ke
na jaoge sun kar bina wah ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.