akaD shah ki zehanat
akaḌ shaah ne dostoñ se kahā
mujhe to zehānat huī hai atā
kahā dostoñ ne akaḌ shaah se
vo phañstā hai aksar akaḌ ho jise
akaḌ kar akaḌ shaah kahne lagā
akaḌ mere andar nahīñ hai zarā
maiñ kyoñ ḳhud ko be-aql-o-majnūñ kahūñ
tavāzo.a kī ḳhātir ġhalat kyoñ kahūñ
tabassum chhupā kar kahā dost ne
agar tū kahe āzmā.eñ tujhe
zahīñ hai to de ham ko tū bārah sau
samajhdār gar hai to de gyārah sau
akaḌ shaah bolā na mānūñgā haar
mire paas kal aanā ai mere yaar
maiñ teii.s dene ko tayyār huuñ
ki maiñ to zahīn aur samajhdār huuñ
kahā dost ne ai zahīñ chal batā
banī murġhī pahle ki anDā banā
akaḌ shaah pahle hañsā phir kahā
javāb us kā bilkul hai āsān sā
mujhe pahle murġhā banāyā gayā
varaq par phir anDā banāyā gayā
phir ik din usī dost se jab milā
to vo dost us se ye kahne lagā
bahut hī baḌe ho ga.e baal ab
hajāmat karāoge tum apnī kab
bulāyā tumheñ goyā hajjām ne
dukān us kī dekho vo hai sāmne
magar TuñD bilkul na karvānā tum
ki ho jaatī hai ThanD meñ siTTī gum
akaḌ shaah hajāmat karāne chalā
ki ye mashvara us ko achchhā lagā
jab agle din us dost se vo milā
use pā ke ganjā vo hairāñ huā
kahā dost ne bhaa.ī ye kyā kiyā
ye kis ne tujhe puurā ganjā kiyā
batāyā akaḌ shaah ne hañste hue
ki hajjām ke paas khulle na the
diye maiñ ne hajjām ko sau rūpa.e
kaTe the mire baal bas tiis ke
kahā maiñ is se na ghabrā zarā
tū sattar kā ab pher le usturā
'usāma' se qisse akaḌ shaah ke
na jāoge sun kar binā vaah ke
akaD shah ne doston se kaha
mujhe to zehanat hui hai ata
kaha doston ne akaD shah se
wo phansta hai aksar akaD ho jise
akaD kar akaD shah kahne laga
akaD mere andar nahin hai zara
main kyon KHud ko be-aql-o-majnun kahun
tawazoa ki KHatir ghalat kyon kahun
tabassum chhupa kar kaha dost ne
agar tu kahe aazmaen tujhe
zahin hai to de hum ko tu barah sau
samajhdar gar hai to de gyarah sau
akaD shah bola na manunga haar
mere pas kal aana ai mere yar
main teis dene ko tayyar hun
ki main to zahin aur samajhdar hun
kaha dost ne ai zahin chal bata
bani murghi pahle ki anDa bana
akaD shah pahle hansa phir kaha
jawab us ka bilkul hai aasan sa
mujhe pahle murgha banaya gaya
waraq par phir anDa banaya gaya
phir ek din usi dost se jab mila
to wo dost us se ye kahne laga
bahut hi baDe ho gae baal ab
hajamat karaoge tum apni kab
bulaya tumhein goya hajjam ne
dukan us ki dekho wo hai samne
magar TunD bilkul na karwana tum
ki ho jati hai ThanD mein siTTi gum
akaD shah hajamat karane chala
ki ye mashwara us ko achchha laga
jab agle din us dost se wo mila
use pa ke ganja wo hairan hua
kaha dost ne bhai ye kya kiya
ye kis ne tujhe pura ganja kiya
bataya akaD shah ne hanste hue
ki hajjam ke pas khulle na the
diye main ne hajjam ko sau rupae
kaTe the mere baal bas tis ke
kaha main is se na ghabra zara
tu sattar ka ab pher le ustura
'usama' se qisse akaD shah ke
na jaoge sun kar bina wah ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.