akeli
ajnabī apne qadmoñ ko roko zarā
jāntī huuñ tumhāre liye ġhair huuñ
phir bhī Thahro zarā
sunte jaao ye ashkoñ-bharī dāstāñ
saath lete chalo ye mujassam fuġhāñ
aaj duniyā meñ merā koī bhī nahīñ
vo gharauñdā nahīñ jis ke saa.e tale
boriyoñ ke tarannum ko suntī rahī
phuul chuntī rahī
giit buntī rahī
merī nazroñ ke sahme hue aa.ine
merī ammī ke abbā ke aapā ke aur mere nanhe se ma.asūm bhayyā ke ḳhuuñ se haiñ dahshat-zada
aaj merī nigāhoñ kī vīrāniyāñ chand majrūh yādoñ se ābād haiñ
aaj merī umangoñ ke sūkhe kañval mere ashkoñ ke paanī se shādāb haiñ
aaj merī taḌaptī huī siskiyāñ ek sāz-e-shikasta kī fariyād haiñ
aur kuchh bhī nahīñ
bhuuk miTtī nahīñ
tan pe kapḌā nahīñ
aas mādūm hai
aaj duniyā meñ merā koī bhī nahīñ
aaj duniyā meñ merā koī bhī nahīñ
ajnabī apne qadmoñ ko roko zarā
sunte jaao ye ashkoñ-bharī dāstāñ
saath lete chalo ye mujassam fuġhāñ
merī ammī bano
mere abbā bano
merī aapā bano
mere nanhe se ma.asūm bhayyā bano
merī ismat kī maġhrūr kirneñ bano
mere kuchh to bano
mere kuchh to bano
mere kuchh to bano
ajnabi apne qadmon ko roko zara
jaanti hun tumhaare liye ghair hun
phir bhi Thahro zara
sunte jao ye ashkon-bhari dastan
sath lete chalo ye mujassam fughan
aaj duniya mein mera koi bhi nahin
wo gharaunda nahin jis ke sae tale
boriyon ke tarannum ko sunti rahi
phul chunti rahi
git bunti rahi
meri nazron ke sahme hue aaine
meri ammi ke abba ke aapa ke aur mere nanhe se masum bhayya ke KHun se hain dahshat-zada
aaj meri nigahon ki viraniyan chand majruh yaadon se aabaad hain
aaj meri umangon ke sukhe kanwal mere ashkon ke pani se shadab hain
aaj meri taDapti hui siskiyan ek saz-e-shikasta ki fariyaad hain
aur kuchh bhi nahin
bhuk miTti nahin
tan pe kapDa nahin
aas madum hai
aaj duniya mein mera koi bhi nahin
aaj duniya mein mera koi bhi nahin
ajnabi apne qadmon ko roko zara
sunte jao ye ashkon-bhari dastan
sath lete chalo ye mujassam fughan
meri ammi bano
mere abba bano
meri aapa bano
mere nanhe se masum bhayya bano
meri ismat ki maghrur kirnen bano
mere kuchh to bano
mere kuchh to bano
mere kuchh to bano
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.