akeli
ajnabī apne qadmoñ ko roko zarā
jāntī huuñ tumhāre liye ġhair huuñ
phir bhī Thahro zarā
sunte jaao ye ashkoñ-bharī dāstāñ
saath lete chalo ye mujassam fuġhāñ
aaj duniyā meñ merā koī bhī nahīñ
merī ammī nahīñ
mere abbā nahīñ
merī aapā nahīñ
mere nanhe se ma.asūm bhayyā nahīñ
merī ismat kī maġhrūr kirneñ nahīñ
vo gharauñdā nahīñ jis ke sā.e-tale
boriyoñ ke tarannum ko suntī rahī
phuul chuntī rahī
giit gaatī rahī
muskurātī rahī
aaj kuchh bhī nahīñ
aaj kuchh bhī nahīñ
merī nazroñ ke sahme hue ā.īne
merī ammī ke abbā ke aapā ke aur mere nanhe se ma.asūm bhayyā ke ḳhuuñ se
haiñ dahshat-zada
aaj merī nigāhoñ kī vīrāniyāñ chand majrūh yādoñ se ābād haiñ
aaj merī umañgoñ ke sūkhe kañval mere ashkoñ ke paanī se shādāb haiñ
aaj merī taḌaptī huī siskiyāñ ek sāz-e-shikasta kī fariyād haiñ
aur kuchh bhī nahīñ
bhuuk miTtī nahīñ
tan pe kapḌā nahīñ
aas ma.adūm hai
aaj duniyā meñ merā koī bhī nahīñ
aaj duniyā meñ merā koī bhī nahīñ
ajnabī apne qadmoñ ko roko zarā
sunte jaao ye ashkoñ-bharī dāstāñ
sunte jaao ye ashkoñ-bharī dāstāñ
saath lete chalo ye mujassam fuġhāñ
merī ammī bano
mere abbā banno
merī aapā bano
mere nanhe se ma.asūm bhayyā bano
mere ismat kī maġhrūr kirneñ bano
mere kuchh to bano
mere kuchh to bano
mere kuchh to bano
ajnabi apne qadmon ko roko zara
jaanti hun tumhaare liye ghair hun
phir bhi Thahro zara
sunte jao ye ashkon-bhari dastan
sath lete chalo ye mujassam fughan
aaj duniya mein mera koi bhi nahin
meri ammi nahin
mere abba nahin
meri aapa nahin
mere nanhe se masum bhayya nahin
meri ismat ki maghrur kirnen nahin
wo gharaunda nahin jis ke sae-tale
boriyon ke tarannum ko sunti rahi
phul chunti rahi
git gati rahi
muskuraati rahi
aaj kuchh bhi nahin
aaj kuchh bhi nahin
meri nazron ke sahme hue aaine
meri ammi ke abba ke aapa ke aur mere nanhe se masum bhayya ke KHun se
hain dahshat-zada
aaj meri nigahon ki viraniyan chand majruh yaadon se aabaad hain
aaj meri umangon ke sukhe kanwal mere ashkon ke pani se shadab hain
aaj meri taDapti hui siskiyan ek saz-e-shikasta ki fariyaad hain
aur kuchh bhi nahin
bhuk miTti nahin
tan pe kapDa nahin
aas madum hai
aaj duniya mein mera koi bhi nahin
aaj duniya mein mera koi bhi nahin
ajnabi apne qadmon ko roko zara
sunte jao ye ashkon-bhari dastan
sunte jao ye ashkon-bhari dastan
sath lete chalo ye mujassam fughan
meri ammi bano
mere abba banno
meri aapa bano
mere nanhe se masum bhayya bano
mere ismat ki maghrur kirnen bano
mere kuchh to bano
mere kuchh to bano
mere kuchh to bano
- Book : aazaadii ke baad delhi men urdu nazm (Pg. 83)
- Author : ateequllah
- Publication : urdu academy,delhi (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.