akeli raat
phir shab-e-ġham meñ idhar chāñd ko dekhā maiñ ne
apne maazī kī vahī dāstāñ dohrāte hue
chāñdnī-rāt meñ bādal ke sunahre TukḌe
terī yādoñ kī tarah chhā.e haiñ lahrāte hue
aaj us raat ke sannāTe meñ ai dost na pūchh
kitne uljhe haiñ fasāne tirī zulfoñ kī tarah
haa.e un tāroñ ne kis darja pareshān kiyā
jo nazar aate haiñ mujh ko tirī āñkhoñ kī tarah
tū nahīñ hai to ye sar-mast nazāre kyā haiñ
ruuTh jaatī haiñ bahāreñ bhī udhar gulshan se
qalb-e-be-tāb se aatī hai sadā.eñ hamdam
kitnī ummīdeñ haiñ vābasta tire dāman se
chāñd jis ne kabhī dekhā thā hameñ dast-ba-dast
aaj vo chāñd baḌhātā hai mirā dard-e-jigar
bhuul jaanā tujhe mumkin hai magar ai mahbūb
shart ye hai nazar aa.e na mujhe rū-e-qamar
phir shab-e-ġham meñ idhar chāñd ko dekhā maiñ ne
apne maazī kī vahī dāstāñ dohrāte hue
phir shab-e-gham mein idhar chand ko dekha main ne
apne mazi ki wahi dastan dohraate hue
chandni-raat mein baadal ke sunahre TukDe
teri yaadon ki tarah chhae hain lahraate hue
aaj us raat ke sannaTe mein ai dost na puchh
kitne uljhe hain fasane teri zulfon ki tarah
hae un taron ne kis darja pareshan kiya
jo nazar aate hain mujh ko teri aankhon ki tarah
tu nahin hai to ye sar-mast nazare kya hain
ruTh jati hain bahaaren bhi udhar gulshan se
qalb-e-be-tab se aati hai sadaen hamdam
kitni ummiden hain wabasta tere daman se
chand jis ne kabhi dekha tha hamein dast-ba-dast
aaj wo chand baDhata hai mera dard-e-jigar
bhul jaana tujhe mumkin hai magar ai mahbub
shart ye hai nazar aae na mujhe ru-e-qamar
phir shab-e-gham mein idhar chand ko dekha main ne
apne mazi ki wahi dastan dohraate hue
- Book : Dard aashna (Pg. 20)
- Author : Abdullah Sajid
- Publication : Abdullah Sajid
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.