aKHroT ka peD aur ek nadan
nādāñ koī ik roz jo jañgal meñ gayā
aḳhroT ke bāġhāt kā manzar dekhā
hai kitnā baḌā peḌ to phal chhoTā sā
ye soch ke vo aur bhī hairān huā
is itne baḌe peḌ pe nanhā sā phal
tarbūz yahāñ hotā to kyā achchhā thā
tarbūz ko dekho to zarā sī hai bel
qudrat ne dikhā.e haiñ tamāshe kyā kyā
tarbūz kahāñ aur kahāñ ye aḳhroT
kyā bhed hai merī na samajh meñ aayā
is soch meñ thā ki ik havā kā jhakkaḌ
āñdhī sā bagūlā sā biphar kar uTThā
jañgal ke daraḳhtoñ ko hilā kar us ne
aḳhroT ko nādān ke sar par pheñkā
sar par paḌā aḳhroT to chīḳhā nādān
tarbūz jo hotā to maiñ mar hī jaatā
hikmat se koī kaam nahīñ hai ḳhālī
jis ko bhī jahāñ tū ne kiyā hai paidā
us kī jagah us ne nahīñ behtar koī
ab raaz ye merī bhī samajh meñ aayā
nadan koi ek roz jo jangal mein gaya
aKHroT ke baghat ka manzar dekha
hai kitna baDa peD to phal chhoTa sa
ye soch ke wo aur bhi hairan hua
is itne baDe peD pe nanha sa phal
tarbuz yahan hota to kya achchha tha
tarbuz ko dekho to zara si hai bel
qudrat ne dikhae hain tamashe kya kya
tarbuz kahan aur kahan ye aKHroT
kya bhed hai meri na samajh mein aaya
is soch mein tha ki ek hawa ka jhakkaD
aandhi sa bagula sa biphar kar uTTha
jangal ke daraKHton ko hila kar us ne
aKHroT ko nadan ke sar par phenka
sar par paDa aKHroT to chiKHa nadan
tarbuz jo hota to main mar hi jata
hikmat se koi kaam nahin hai KHali
jis ko bhi jahan tu ne kiya hai paida
us ki jagah us ne nahin behtar koi
ab raaz ye meri bhi samajh mein aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.