aKHtar shirani
chhā ga.ī ruuh par ik ġham kī ghaTā tere baa'd
kitnī tārīk hai is dil kī fazā tere baa'd
tū to is daur meñ jiine se thā pahle hī se tang
tujh ko aa.ī hai haqīqat meñ qazā tere baa'd
itnī sunsān to ye bazm huī thī na kabhī
jitnī sunsān hai bazm-e-shu’arā tere baa'd
'ishq-o-mastī kī ba-āhang-e-‘ḳhayām'-o-'hāfiz'
sāz-e-urdū se na niklegī sadā tere baa'd
ab kahāñ vo tire ash’ār kā rañgīn uslūb
kaun ho terī tarah naġhma-sarā tere baa'd
kar sake kaun vo andāz-e-ravānī paidā
kis ke she'roñ meñ ho raftār-e-sabā tere baa'd
husn ko ḳhud bhī nahīñ apnī adā meñ jo nasīb
mil sake ab vo kise husn-e-adā tere baa'd
zānū-e-husn pe ab niiñd kise hogī nasīb
kis ko raas aa.egī dāman kī havā tere baa'd
maañd paḌ jā.eñge gul-pairahanoñ ke jalve
kaun dekhegā bahāroñ kī adā tere baa'd
aah ātish-kada-e-bāda-faroshāñ pe kabhī
ab na chhā.egī bahishtoñ kī fazā tere baa'd
karam-e-behad-e-sāqī pe bhī bad-mastī meñ
kis ko ho ḳhissat-e-sāqī kā gilā tere baa'd
jis ke har jur'e meñ mai-ḳhāna umañD aatā thā
dast-e-sāqī meñ vo sāġhar na rahā tere baa'd
bārisheñ ā.eñgī 'aḳhtar' na uThegī lekin
ufuq-e-jām se mastāna ghaTā tere baa'd
tere ahbāb-e-ḳhusūsī kī vafā kyā kahiye
yaad aa.ī hai unheñ apnī vafā tere baa'd
jīte-jī jis ne na hone diyā ham-bazm tujhe
garm us se hai tirī bazm-e-'azā tere baa'd
zindagī meñ tujhe jis ne na pilā.ī ho sharāb
terī baḳhshish kī na māñge vo du'ā tere baa'd
kaash mere liye likhtā vo tujhe jo 'aḳhtar'
josh ne tere liye mujh ko likhā tere baa'd
hai tirī be-kasī-e-‘ishq kā ronā mujh ko
koī pursān-e-mohabbat na rahā tere ba.ad
terī rehāna-e-she’r aur tirī salmā-e-sharāb
kis kī ho kar raheñ 'bismil' ke sivā tere baa'd
chha gai ruh par ek gham ki ghaTa tere ba'd
kitni tarik hai is dil ki faza tere ba'd
tu to is daur mein jine se tha pahle hi se tang
tujh ko aai hai haqiqat mein qaza tere ba'd
itni sunsan to ye bazm hui thi na kabhi
jitni sunsan hai bazm-e-shu’ara tere ba'd
'ishq-o-masti ki ba-ahang-e-‘KHayam'-o-'hafiz'
saz-e-urdu se na niklegi sada tere ba'd
ab kahan wo tere ash’ar ka rangin uslub
kaun ho teri tarah naghma-sara tere ba'd
kar sake kaun wo andaz-e-rawani paida
kis ke she'ron mein ho raftar-e-saba tere ba'd
husn ko KHud bhi nahin apni ada mein jo nasib
mil sake ab wo kise husn-e-ada tere ba'd
zanu-e-husn pe ab nind kise hogi nasib
kis ko ras aaegi daman ki hawa tere ba'd
mand paD jaenge gul-pairahanon ke jalwe
kaun dekhega bahaaron ki ada tere ba'd
aah aatish-kada-e-baada-faroshan pe kabhi
ab na chhaegi bahishton ki faza tere ba'd
karam-e-behad-e-saqi pe bhi bad-masti mein
kis ko ho KHissat-e-saqi ka gila tere ba'd
jis ke har jur'e mein mai-KHana umanD aata tha
dast-e-saqi mein wo saghar na raha tere ba'd
barishen aaengi 'aKHtar' na uThegi lekin
ufuq-e-jam se mastana ghaTa tere ba'd
tere ahbab-e-KHususi ki wafa kya kahiye
yaad aai hai unhen apni wafa tere ba'd
jite-ji jis ne na hone diya ham-bazm tujhe
garm us se hai teri bazm-e-'aza tere ba'd
zindagi mein tujhe jis ne na pilai ho sharab
teri baKHshish ki na mange wo du'a tere ba'd
kash mere liye likhta wo tujhe jo 'aKHtar'
josh ne tere liye mujh ko likha tere ba'd
hai teri be-kasi-e-‘ishq ka rona mujh ko
koi pursan-e-mohabbat na raha tere baad
teri rehana-e-she’r aur teri salma-e-sharab
kis ki ho kar rahen 'bismil' ke siwa tere ba'd
- Book : Kulliyat-e-bismil Saeedi (Pg. 219)
- Author : Bismil Saeedi
- Publication : Sahitya Akademi (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.