ahd-e-wafa
yahī shāḳh tum jis ke nīche kisī ke liye chashm-e-nam ho yahāñ ab se kuchh saal pahle
mujhe ek chhoTī sī bachchī milī thī jise maiñ ne āġhosh meñ le ke pūchā thā beTī
yahāñ kyuuñ khaḌī ro rahī ho mujhe apne bosīda āñchal meñ phūloñ ke gahne dikhā kar
vo kahne lagī merā sāthī udhar us ne uñglī uThā kar batāyā udhar us taraf hī
jidhar ūñche mahloñ ke gumbad miloñ kī siyah chimniyāñ āsmāñ kī taraf sar uThā.e khaḌī haiñ
ye kah kar gayā hai ki maiñ sone chāñdī ke gahne tire vāste lene jaatā huuñ 'rāmī'
yahi shaKH tum jis ke niche kisi ke liye chashm-e-nam ho yahan ab se kuchh sal pahle
mujhe ek chhoTi si bachchi mili thi jise main ne aaghosh mein le ke pucha tha beTi
yahan kyun khaDi ro rahi ho mujhe apne bosida aanchal mein phulon ke gahne dikha kar
wo kahne lagi mera sathi udhar us ne ungli uTha kar bataya udhar us taraf hi
jidhar unche mahlon ke gumbad milon ki siyah chimniyan aasman ki taraf sar uThae khaDi hain
ye kah kar gaya hai ki main sone chandi ke gahne tere waste lene jata hun 'rami'
- Book : azadi ke bad urdu nazm (Pg. 247)
- Author : shamim hanfi and mazhar mahdi
- Publication : qaumi council bara-e-farogh urdu (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.