baz-amad --- ek muntaj
titliyāñ nāchtī haiñ
phuul se phuul pe yuuñ jaatī haiñ
jaise ik baat hai jo
kaan meñ kahnī hai ḳhāmoshī se
aur har phuul hañsā paḌtā hai sun kar ye baat
dhuup meñ tezī nahīñ
aise aatā hai har ik jhoñkā havā kā jaise
dast-e-shafqat hai baḌī umr kī mahbūba kā
aur mire shānoñ ko is tarah hilā jaatā hai
jaise maiñ niiñd meñ huuñ
aurteñ charḳhe liye baiThī haiñ
kuchh kapās oTtī haiñ
kuchh silā.ī ke kisī kaam meñ masrūf haiñ yuuñ
jaise ye kaam hai dar-asl har ik shai kī asaas
ek se ek chuhul kartī hai
koī kahtī hai mirī chūḌiyāñ khankīñ to khankhārī mirī saas
koī kahtī hai bharī chāñdnī aatī nahīñ raas
raat kī baat sunātī hai koī hañs hañs kar
baat kī baat sunātī hai koī hañs hañs kar
lazzat-e-vasl hai āzār, koī kahtī hai
maiñ to ban jaatī huuñ bīmār, koī kahtī hai
maiñ bhī ghus aatā huuñ is shīsh-mahal meñ dekho
sab hañsī rok ke kahtī haiñ nikālo is ko
ik parinda kisī ik peḌ kī Tahnī pe chahaktā hai kahīñ
ek gaatā huā yuuñ jaatā hai dhartī se falak kī jānib
puurī quvvat se koī geñd uchhāle jaise
ik phudaktā hai sar-e-shāḳh pe jis tarah koī
āmad-e-fasl-e-bahārī kī ḳhushī meñ nāche
gūñdnī bojh se apne hī jhukī paḌtī hai
nāznīñ jaise hai koī ye bharī mahfil meñ
aur kal haath hue haiñ piile
koyaleñ kūktī haiñ
jāmuneñ pakkī haiñ, aamoñ pe bahār aa.ī hai
arġhanūñ bajtā hai yakjā.ī kā
niim ke peḌoñ meñ jhūle haiñ jidhar dekho udhar
sāvanī gaatī haiñ sab laḌkiyāñ āvāz milā kar har-sū
aur is āvāz se guuñj uTThī hai bastī saarī
maiñ kabhī ek kabhī dūsre jhūle ke qarīñ jaatā huuñ
ek hī kam hai, vahī chehra nahīñ
āḳhirash pūchh hī letā huuñ kisī se baḌh kar
kyuuñ habība nahīñ aa.ī ab tak?
khilkhilā paḌtī haiñ sab laḌkiyāñ sun kar ye naam
lo ye sapne meñ haiñ, ik kahtī hai
bāolī sapnā nahīñ, shahr se aa.e haiñ abhī
dūsrī Toktī hai
baat se baat nikal chaltī hai
ThaaT kī aa.ī thī bārāt, chambelī ne kahā
band-bājā bhī thaa, diipā bolī
aur dulhan pe huā kitnā bikher
kuchh na kuchh kahtī rahīñ sab hī magar maiñ ne sirf
itnā pūchhā vo nadī bahtī hai ab bhii, ki nahīñ
jis se vābasta haiñ ham aur ye bastī sārī?
kyuuñ nahīñ bahtī, chambelī ne kahā
aur vo bargad kā ghanā peḌ kināre us ke?
vo bhī qaa.em hai abhī tak yūñhī
va.ada kar ke jo 'habība' nahīñ aatī thī kabhī
āñkheñ dhotā thā nadī meñ jākar
aur bargad kī ghanī chhāñv meñ so jaatā thā
maah o saal aate, chale jaate haiñ
fasl pak jaatī hai, kaT jaatī hai
koī rotā nahīñ is mauqe par
halqa-dar-halqa na aahan ko tapā kar Dhāleñ
koī zanjīr na ho!
zīst-dar-zīst kā ye silsila baaqī na rahe!
bhiiḌ hai bachchoñ kī chhoTī sī galī meñ dekho
ek ne geñd jo pheñkī to lagī aa ke mujhe
maiñ ne jā pakḌā use, dekhī huī sūrat thī
kis kā hai maiñ ne kisī se pūchā?
ye habība kā hai, ramzānī qasā.ī bolā
bholī sūrat pe hañsī aa ga.ī us kī mujh ko
vo bhī hañsne lagā, ham donoñ yūñhī hañste rahe!
der tak hañste rahe!
titliyāñ nāchtī haiñ
phuul se phuul pe yuuñ jaatī haiñ
jaise ik baat hai jo
kaan meñ kahnī hai ḳhāmoshī se
aur har phuul hañsā paḌtā hai sun kar ye baat!
titliyan nachti hain
phul se phul pe yun jati hain
jaise ek baat hai jo
kan mein kahni hai KHamoshi se
aur har phul hansa paDta hai sun kar ye baat
dhup mein tezi nahin
aise aata hai har ek jhonka hawa ka jaise
dast-e-shafqat hai baDi umr ki mahbuba ka
aur mere shanon ko is tarah hila jata hai
jaise main nind mein hun
aurten charKHe liye baiThi hain
kuchh kapas oTti hain
kuchh silai ke kisi kaam mein masruf hain yun
jaise ye kaam hai dar-asl har ek shai ki asas
ek se ek chuhul karti hai
koi kahti hai meri chuDiyan khankin to khankhaari meri sas
koi kahti hai bhari chandni aati nahin ras
raat ki baat sunati hai koi hans hans kar
baat ki baat sunati hai koi hans hans kar
lazzat-e-wasl hai aazar, koi kahti hai
main to ban jati hun bimar, koi kahti hai
main bhi ghus aata hun is shish-mahal mein dekho
sab hansi rok ke kahti hain nikalo is ko
ek parinda kisi ek peD ki Tahni pe chahakta hai kahin
ek gata hua yun jata hai dharti se falak ki jaanib
puri quwwat se koi gend uchhaale jaise
ek phudakta hai sar-e-shaKH pe jis tarah koi
aamad-e-fasl-e-bahaari ki KHushi mein nache
gundni bojh se apne hi jhuki paDti hai
naznin jaise hai koi ye bhari mahfil mein
aur kal hath hue hain pile
koyalen kukti hain
jamunen pakki hain, aamon pe bahaar aai hai
arghanun bajta hai yakjai ka
nim ke peDon mein jhule hain jidhar dekho udhar
sawani gati hain sab laDkiyan aawaz mila kar har-su
aur is aawaz se gunj uTThi hai basti sari
main kabhi ek kabhi dusre jhule ke qarin jata hun
ek hi kam hai, wahi chehra nahin
aaKHirash puchh hi leta hun kisi se baDh kar
kyun habiba nahin aai ab tak?
khilkhila paDti hain sab laDkiyan sun kar ye nam
lo ye sapne mein hain, ek kahti hai
baoli sapna nahin, shahr se aae hain abhi
dusri Tokti hai
baat se baat nikal chalti hai
ThaT ki aai thi baraat, chambeli ne kaha
band-baja bhi tha, dipa boli
aur dulhan pe hua kitna bikher
kuchh na kuchh kahti rahin sab hi magar main ne sirf
itna puchha wo nadi bahti hai ab bhi, ki nahin
jis se wabasta hain hum aur ye basti sari?
kyun nahin bahti, chambeli ne kaha
aur wo bargad ka ghana peD kinare us ke?
wo bhi qaem hai abhi tak yunhi
wada kar ke jo 'habiba' nahin aati thi kabhi
aankhen dhota tha nadi mein jakar
aur bargad ki ghani chhanw mein so jata tha
mah o sal aate, chale jate hain
fasl pak jati hai, kaT jati hai
koi rota nahin is mauqe par
halqa-dar-halqa na aahan ko tapa kar Dhaalen
koi zanjir na ho!
zist-dar-zist ka ye silsila baqi na rahe!
bhiD hai bachchon ki chhoTi si gali mein dekho
ek ne gend jo phenki to lagi aa ke mujhe
main ne ja pakDa use, dekhi hui surat thi
kis ka hai main ne kisi se pucha?
ye habiba ka hai, ramzani qasai bola
bholi surat pe hansi aa gai us ki mujh ko
wo bhi hansne laga, hum donon yunhi hanste rahe!
der tak hanste rahe!
titliyan nachti hain
phul se phul pe yun jati hain
jaise ek baat hai jo
kan mein kahni hai KHamoshi se
aur har phul hansa paDta hai sun kar ye baat!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.