aks-dar-aks
na chāñd-māthā na tārā-ThoḌī
na jhīl-āñkheñ, na phūl-lab haiñ
na aañch azm-o-yaqīñ kī dil meñ
nuqūsh-e-ruḳh itne miT ga.e haiñ, nuqūsh kab haiñ
ai ā.īne vaqt ke! tujhe ek baar bhī
ik hasīñ chehra na de sake ham
magar haiñ ham ab bhī aks terā
vo aks hī to hamārā sach hai
hamārī āñkheñ bujhī huī haiñ magar yahī to haiñ terī āñkheñ
hamāre chehre sute hue haiñ, magar yahī to hai terā chehra
hamāre aañsū haiñ tere āñsū, hamāre dukh saare tere dukh haiñ
ki tū bhī sach bolne kā aadī hai, ham bhī aadī
ham apne chehre, ham apne bātin sañvār leñge
hamārī āñkhoñ meñ dekh apne hasīn fardā kā ik hayūlā
ki chāñd māthā hai, taarā thoḌī hai, jhiil āñkheñ haiñ, phuul lab haiñ
hasīn haiñ ham, hasīn hai tū hasīn sab haiñ
na chand-matha na tara-ThoDi
na jhil-ankhen, na phul-lab hain
na aanch azm-o-yaqin ki dil mein
nuqush-e-ruKH itne miT gae hain, nuqush kab hain
ai aaine waqt ke! tujhe ek bar bhi
ek hasin chehra na de sake hum
magar hain hum ab bhi aks tera
wo aks hi to hamara sach hai
hamari aankhen bujhi hui hain magar yahi to hain teri aankhen
hamare chehre sute hue hain, magar yahi to hai tera chehra
hamare aansu hain tere aansu, hamare dukh sare tere dukh hain
ki tu bhi sach bolne ka aadi hai, hum bhi aadi
hum apne chehre, hum apne baatin sanwar lenge
hamari aankhon mein dekh apne hasin farda ka ek hayula
ki chand matha hai, tara thoDi hai, jhil aankhen hain, phul lab hain
hasin hain ham, hasin hai tu hasin sab hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.