aksar aisa hota hai
aksar
ek peḌ
safar meñ badal jaatā hai
aur
tumhārā chehra
dhuñd meñ kho jaatā hai
aksar
merī yādeñ
majbūr sī ho jaatī haiñ
aur
ek pal
sadī meñ badal jaatā hai
aksar
tumhārī yādeñ
ek rāsta ban jaatī haiñ
aur
ek sadī
pal meñ guzar jaatī hai
aksar
ek peD
safar mein badal jata hai
aur
tumhaara chehra
dhund mein kho jata hai
aksar
meri yaaden
majbur si ho jati hain
aur
ek pal
sadi mein badal jata hai
aksar
tumhaari yaaden
ek rasta ban jati hain
aur
ek sadi
pal mein guzar jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.