aksar shab-e-tanhai mein
vo mirī zindagī kā afsāna
jab kabhī mujh ko yaad aatā hai
dil meñ ḳhushbū sī phail jaatī hai
koī ḳhvāboñ meñ muskurātā hai
shab kī tanhā.iyoñ meñ bhī aksar
koī āvāz mujh ko detā hai
naam le kar pukārtā hai mujhe
kabhī chupke se naam letā hai
phir mirī ḳhvāb-gāh meñ jaise
ek aahaT sunā.ī detī hai
phir dhuñdalkoñ meñ muskurātī huī
koī sūrat dikhā.ī detī hai
ḳhvāb hī ḳhvāb ye kahānī hai
maiñ ne dekhī haiñ jis ke saa.e meñ
nīm-vā be-ḳhayāl āñkhoñ se
zindagī kī hasīn tasvīreñ
ab bhī aksar ye sochtā huuñ maiñ
phuul koī chaman meñ khil jaatā
tū agar merī ham-safar hotī
zindagī ko nishān mil jaatā
shab kī tanhā.iyoñ meñ jaane kyoñ
mujh ko aksar ḳhayāl aatā hai
kaun hai ab mire ta.āqub meñ
tū nahīñ hai ye merā saaya hai
wo meri zindagi ka afsana
jab kabhi mujh ko yaad aata hai
dil mein KHushbu si phail jati hai
koi KHwabon mein muskuraata hai
shab ki tanhaiyon mein bhi aksar
koi aawaz mujh ko deta hai
nam le kar pukarta hai mujhe
kabhi chupke se nam leta hai
phir meri KHwab-gah mein jaise
ek aahaT sunai deti hai
phir dhundalkon mein muskuraati hui
koi surat dikhai deti hai
KHwab hi KHwab ye kahani hai
main ne dekhi hain jis ke sae mein
nim-wa be-KHayal aankhon se
zindagi ki hasin taswiren
ab bhi aksar ye sochta hun main
phul koi chaman mein khil jata
tu agar meri ham-safar hoti
zindagi ko nishan mil jata
shab ki tanhaiyon mein jaane kyon
mujh ko aksar KHayal aata hai
kaun hai ab mere taaqub mein
tu nahin hai ye mera saya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.