alamat ke pas-manzar mein
be-qarār
phañs ga.ī maazī ke tah-ḳhāne meñ
mustaqbil kī Taañg
nabz-e-daurāñ
niim ke saa.e tale baiThī rahī
aur phir
qalb-e-muztar meñ kukurmutte uge
chashm-e-fitrat kā
churā kar le gayā kājal koī
kankhjūre saañs se chipke hue
ghūrte haiñ marmarīñ idrāk ko
khet meñ leTī hai dīvāne kī ruuh
kuud jaao āñsuoñ kī jhiil meñ
aaj dhurpad gā rahī hai chāñdnī
ik sitārā dūsre par gir paḌā
falsafī ke ghar meñ tilcahiTTe bhaTakte rah ga.e
ghus gayā bhus aañkh meñ ākāsh kī
niiñd āñtoñ ko
chabātī jaa.e hai
phephaḌoñ meñ fuzla-e-ehsās hai
mahv-e-ḳhirām
raushnī ko ko.ele kī kaan se fursat kahāñ
dosto aao
lañgoTī bāñdh leñ
be-qarar
phans gai mazi ke tah-KHane mein
mustaqbil ki Tang
nabz-e-dauran
nim ke sae tale baiThi rahi
aur phir
qalb-e-muztar mein kukurmutte uge
chashm-e-fitrat ka
chura kar le gaya kajal koi
kankhjure sans se chipke hue
ghurte hain marmarin idrak ko
khet mein leTi hai diwane ki ruh
kud jao aansuon ki jhil mein
aaj dhurpad ga rahi hai chandni
ek sitara dusre par gir paDa
falsafi ke ghar mein tilcahiTTe bhaTakte rah gae
ghus gaya bhus aankh mein aakash ki
nind aanton ko
chabaati jae hai
phephaDon mein fuzla-e-ehsas hai
mahw-e-KHiram
raushni ko koele ki kan se fursat kahan
dosto aao
langoTi bandh len
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.