alamat
safar zindagī kī
alāmat hai lekin
sabhī rāste
khoTe sikkoñ kī tarah
mirī jeb meñ
jaane kab se paḌe haiñ
havāoñ meñ piilā
dhuāñ bhar gayā hai
ka.ī saal pahle
maiñ un se milā thā
vo jin kī rāhoñ meñ
thī raushnī
unhoñ ne kahā thā
safar zindagī kī alāmat hai
chalte raho
magar aaj maiñ
us jagah aa gayā huuñ
jahāñ kuchh nahīñ hai
havāoñ meñ piile
dhueñ ke sivā
safar zindagi ki
alamat hai lekin
sabhi raste
khoTe sikkon ki tarah
meri jeb mein
jaane kab se paDe hain
hawaon mein pila
dhuan bhar gaya hai
kai sal pahle
main un se mila tha
wo jin ki rahon mein
thi raushni
unhon ne kaha tha
safar zindagi ki alamat hai
chalte raho
magar aaj main
us jagah aa gaya hun
jahan kuchh nahin hai
hawaon mein pile
dhuen ke siwa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.