alaw
añdherā bahut hai diyā to jalāo
mujhe mere ghar kā to rasta dikhāo
jahāñ maiñ ne dekhe the bachpan ke rang
jahāñ khelā kartī thī guḌiyoñ ke sang
qarīne se rakkhī thiiñ guḌiyāñ mirī
jahāñ daana chugtī thiiñ chiḌiyāñ mirī
mujhe yaad hai apnā chhoTā sā ghar
mohabbat bharī thī jahāñ har nazar
vo ghar jis meñ puure hue mere chaav
jahāñ maiñ ne dekhe vafā ke subhāv
vo ghar yaad aa.e lage dil pe ghaav
yādoñ ke jalne lage phir alaav
andhera bahut hai diya to jalao
mujhe mere ghar ka to rasta dikhao
jahan main ne dekhe the bachpan ke rang
jahan khela karti thi guDiyon ke sang
qarine se rakkhi thin guDiyan meri
jahan dana chugti thin chiDiyan meri
mujhe yaad hai apna chhoTa sa ghar
mohabbat bhari thi jahan har nazar
wo ghar jis mein pure hue mere chaw
jahan main ne dekhe wafa ke subhaw
wo ghar yaad aae lage dil pe ghaw
yaadon ke jalne lage phir alaw
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.