alaw
charāġh imroz bujh rahā hai
dhueñ kī maujeñ ubhar rahī haiñ
shab-e-siyah muntazir khaḌī hai
añdherā chup-chāp chhā rahā hai
abhī hamāre gharoñ ke andar
sulag uTheñge alaav apne hī jism īñdhan kā kaam deñge
gharoñ se bāhar
shajar pe ullū kī sard chīḳheñ
hañsnegī ham par
ki naġhmagī koī shai nahīñ hai
ki zindagī koī shai nahīñ hai
khañDar kī jānib nazar uThāo
ye duur se kitnā ḳhūbsūrat dikhā.ī detā hai paas jaao
to maut kī ek dāstāñ hai
jamāl-e-shab vāhima hai ai dil
hamārī bastī meñ rahne vaale
purāne mai-ḳhvār vāqif-e-dard-o-ġham nahīñ haiñ
hamīñ haiñ donoñ
ye maiñ ye tū ham jaleñge shab-bhar
charagh imroz bujh raha hai
dhuen ki maujen ubhar rahi hain
shab-e-siyah muntazir khaDi hai
andhera chup-chap chha raha hai
abhi hamare gharon ke andar
sulag uThenge alaw apne hi jism indhan ka kaam denge
gharon se bahar
shajar pe ullu ki sard chiKHen
hansnegi hum par
ki naghmagi koi shai nahin hai
ki zindagi koi shai nahin hai
khanDar ki jaanib nazar uThao
ye dur se kitna KHubsurat dikhai deta hai pas jao
to maut ki ek dastan hai
jamal-e-shab wahima hai ai dil
hamari basti mein rahne wale
purane mai-KHwar waqif-e-dard-o-gham nahin hain
hamin hain donon
ye main ye tu hum jalenge shab-bhar
- Book : Lambi Barish (Pg. 42)
- Author : Balraj Komal
- Publication : Sahitya Akademi, New Delhi (2002)
- Edition : 2002
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.