alaw
ham ajnabī the musāfir the ḳhāna-vīrāñ the
aur is alaav ke raqsāñ hinā.ī bātoñ ne
bulā liyā hameñ apne hasīñ ishāroñ se
to is kī raushnī-e-ahmarīñ kī tābish meñ
ḳhud apne aap ko ik dūsre se pahchānā
ki ham vo ḳhāna-badoshān-e-zīst haiñ jin ko
azal se apne hī jaise musāfiroñ kī talāsh
kiye hue hai inhī dasht-o-dar meñ sar-gardāñ
hamārī apnī sadā ajnabī thī apne liye
diloñ ne pahle-pahal zer-e-lab kahā ham se
ki ahl-e-zarf-o-ġharībān-e-shahr-e-ehsāsāt
taras rahe haiñ suḳhan-hā-e-guftanī ke liye
aur is alaav ke sho.aloñ ne ham se bāteñ kiiñ
hamārī guñg zabānoñ ko phir zabāneñ diiñ
aur apnī apnī sunā.īñ kahāniyāñ ham ne
kahāniyāñ jo haqīqat meñ ek jaisī thiiñ
phir is alaav ne ham se kahā ki dīvāno
vo shai jo shoa.la-fishāñ hai tumhāre sīnoñ meñ
usī ko ziist kā raushan alaav kahte haiñ
yahī alaav hai jis ne muhīb rātoñ meñ
shu.ūr-e-sho.ala-tarāzī atā kiyā tum ko
isī alaav se ubhrā hai aarzū kā fusūñ
isī alaav se sīkhā hai tum ne ism-e-junūñ
aur is ke ba.ad mujhe yaad hai ki ham sab ne
ye ek ahd kiyā thā isī alaav ke gird
ki is kī aag meñ ḳhāshāk-e-ġham jalā.eñge
aur is alaav ko apnā ḳhudā banā.eñge
hum ajnabi the musafir the KHana-viran the
aur is alaw ke raqsan hinai baaton ne
bula liya hamein apne hasin ishaaron se
to is ki raushni-e-ahmarin ki tabish mein
KHud apne aap ko ek dusre se pahchana
ki hum wo KHana-badoshan-e-zist hain jin ko
azal se apne hi jaise musafiron ki talash
kiye hue hai inhi dasht-o-dar mein sar-gardan
hamari apni sada ajnabi thi apne liye
dilon ne pahle-pahal zer-e-lab kaha hum se
ki ahl-e-zarf-o-ghariban-e-shahr-e-ehsasat
taras rahe hain suKHan-ha-e-guftani ke liye
aur is alaw ke shoalon ne hum se baaten kin
hamari gung zabanon ko phir zabanen din
aur apni apni sunain kahaniyan hum ne
kahaniyan jo haqiqat mein ek jaisi thin
phir is alaw ne hum se kaha ki diwano
wo shai jo shoala-fishan hai tumhaare sinon mein
usi ko zist ka raushan alaw kahte hain
yahi alaw hai jis ne muhib raaton mein
shuur-e-shoala-taraazi ata kiya tum ko
isi alaw se ubhra hai aarzu ka fusun
isi alaw se sikha hai tum ne ism-e-junun
aur is ke baad mujhe yaad hai ki hum sab ne
ye ek ahd kiya tha isi alaw ke gird
ki is ki aag mein KHashak-e-gham jalaenge
aur is alaw ko apna KHuda banaenge
- Book : namuud (Pg. 154)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.