alamiya
darīche meñ khaḌī bārish ko
saḌkoñ par baraste dekhtī huuñ
sochtī huuñ
dukh ko apne naam kyā duuñ maiñ
tamannāoñ ko girvī rakh ke
ḳhvāboñ ke sabhī dar-band kar ke
kitnī mushkil se
chhuḌā kar apnā dāman
chhat aur āñgan kī tamannā se
faqat ik ghar kī ḳhvāhish meñ
ye zindāñ mol le kar
is pe apne naam kī taḳhtī lagā.ī hai
bas ik ḳhvāhish hai jo
sāvan-rutoñ meñ
dil bahut be chain rakhtī hai
ki maiñ sāvan kī
ThanDī narm bauchhāroñ kā
resham lams
apne tan badan par oḌh letī
hai magar kuchh yuuñ
maiñ bārish dekh to saktī huuñ
is ko chhū nahīñ saktī
dariche mein khaDi barish ko
saDkon par baraste dekhti hun
sochti hun
dukh ko apne nam kya dun main
tamannaon ko girwi rakh ke
KHwabon ke sabhi dar-band kar ke
kitni mushkil se
chhuDa kar apna daman
chhat aur aangan ki tamanna se
faqat ek ghar ki KHwahish mein
ye zindan mol le kar
is pe apne nam ki taKHti lagai hai
bas ek KHwahish hai jo
sawan-ruton mein
dil bahut be chain rakhti hai
ki main sawan ki
ThanDi narm bauchhaaron ka
resham lams
apne tan badan par oDh leti
hai magar kuchh yun
main barish dekh to sakti hun
is ko chhu nahin sakti
- Book : Tahauur-e-Ishq (Pg. 75)
- Author : Humaira rahat
- Publication : Sayed Ameen Ashraf (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.