alamiya
merī shorish judā āñkhoñ ne mujh se yuuñ kahā kal shab
ye dhīmī aañch kā jalnā tujhe dīvāna kar degā
maiñ kyā kartā kahāñ jaatā
ki haa.il thā mire siine meñ ik mahbūs sannāTā
ta.ayyun kaun kartā ham kahāñ par ḳhema-zan haiñ
musallat hai saroñ par kaun sā manhūs saayā
aur aise meñ talātum roz-o-shab terī lagan kā
jaan levā hai
baḌe hī jāñ-gusil haiñ terī chāhat ke sanam-ḳhāne
mohabbat ḳhūn-e-dil kyoñ hai
tamannā soz-e-jāñ kyoñ hai
rafīqān-e-safar itnā batānā
aarzū ek alamiya kyoñ hai
meri shorish juda aankhon ne mujh se yun kaha kal shab
ye dhimi aanch ka jalna tujhe diwana kar dega
main kya karta kahan jata
ki hail tha mere sine mein ek mahbus sannaTa
tayyun kaun karta hum kahan par KHema-zan hain
musallat hai saron par kaun sa manhus saya
aur aise mein talatum roz-o-shab teri lagan ka
jaan lewa hai
baDe hi jaan-gusil hain teri chahat ke sanam-KHane
mohabbat KHun-e-dil kyon hai
tamanna soz-e-jaan kyon hai
rafiqan-e-safar itna batana
aarzu ek alamiya kyon hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.