alamiya
muddatoñ baad tum is tarah milī ho mujh se
jaise ham meñ na koī pyaar kā rishta thā kabhī
ajnabī ban ke mire sāmne yuuñ baiThogī
haa.e dil ne mire aisā to na sochā thā kabhī
tere pichke hue ruḳhsār ye vīrāñ āñkheñ
hoñT-e-pazhmurda kaheñ saarī kahānī terī
ek bhañvre ne tire husn kā ras chuus liyā
ik sitam-kesh ne luuTī hai javānī terī
jhiḌkiyāñ sun ke bhī tū paañv dabā.e us ke
apne shauhar kī bhī ab kitnī vafādār hai tū
us ke bachchoñ ko janam dene kī pāband hai tū
us ke bistar pe ghaḌī ek kī mahkār hai tū
muddaton baad tum is tarah mili ho mujh se
jaise hum mein na koi pyar ka rishta tha kabhi
ajnabi ban ke mere samne yun baiThogi
hae dil ne mere aisa to na socha tha kabhi
tere pichke hue ruKHsar ye viran aankhen
honT-e-pazhmurda kahen sari kahani teri
ek bhanwre ne tere husn ka ras chus liya
ek sitam-kesh ne luTi hai jawani teri
jhiDkiyan sun ke bhi tu panw dabae us ke
apne shauhar ki bhi ab kitni wafadar hai tu
us ke bachchon ko janam dene ki paband hai tu
us ke bistar pe ghaDi ek ki mahkar hai tu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.