alamiya
kahāñ ab kahāñ vo havā
jo sunahrī sī alhaḌ sī pagDanDiyoñ par
mire pīchhe pīchhe chalī maiñ ne jis se kahā
yuuñ na aa dekh legā koī
vo hañsī zahr meñ Duube hoñToñ ne mujh se kahā
tū yuuñ hī Dar gayā
maiñ havā
duur parbat pe merā nagar
ūñche ākāsh par merā ghar
zard pagDanDiyoñ se mujhe vāste
aur maiñ baḌhtā gayā
ūñchā uThtā gayā
duur parbat pahuñchā to gūñgā nagar
mujh ko hairat se takne lagā
sone ākāsh se
TuuTe kañgan kī kircheñ barasne lagīñ
nīche pagDanDiyoñ par bhī koī na thā
kahan ab kahan wo hawa
jo sunahri si alhaD si pagDanDiyon par
mere pichhe pichhe chali main ne jis se kaha
yun na aa dekh lega koi
wo hansi zahr mein Dube honTon ne mujh se kaha
tu yun hi Dar gaya
main hawa
dur parbat pe mera nagar
unche aakash par mera ghar
zard pagDanDiyon se mujhe waste
aur main baDhta gaya
uncha uThta gaya
dur parbat pahuncha to gunga nagar
mujh ko hairat se takne laga
sone aakash se
TuTe kangan ki kirchen barasne lagin
niche pagDanDiyon par bhi koi na tha
- Book : auraq salnama magazines (Pg. e-278 p-266)
- Author : Wazir Agha,Arif Abdul Mateen
- Publication : Daftar Mahnama Auraq Lahore (1967)
- Edition : 1967
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.