alamiya
zindagī tadbīr-e-darmāñ ke sivā kuchh bhī nahīñ
ek paiham kāvish-e-jāñ ke sivā kuchh bhī nahīñ
apne bas meñ raushnī hai apne bas meñ tīrgī
zindagī ḳhud sa.ī-e-insāñ ke sivā kuchh bhī nahīñ
aql larzāñ har qadam par apnī nādārī se hai
jazba-e-dil shorish-e-jāñ ke sivā kuchh bhī nahīñ
ilm-o-irfāñ kī ham-āhañgī subūr-e-dil se hai
aql-o-dānish nūr-e-irfāñ ke sivā kuchh bhī nahīñ
apnī uljhan kā tasalsul apnī kāvish kā ma.aal
alamiya ḳhud sa.ī-e-insāñ ke sivā kuchh bhī nahīñ
nūr-e-irfāñ apnā hāsil apnā hāsil tīrgī
ye gurez-e-zindagī hai vo jihād-e-zindagī
ranj-o-rāhat kī kashākash se varā hai zindagī
ijtihād-e-ilm-o-fan se mā-sivā hai zindagī
ek an-dekhā bahāo ek an-thak silsila
zindagī ke tajribe se māvarā hai zindagī
ek hijr-e-be-amāñ hai ek koh-e-ātishīñ
soz-e-jāñ hai kyā shu.ūr-e-zīst kyā nā-āgahī
ik jihād-e-mustaqil ho yā gurez-e-mustaqil
apnī nādārī ke hāthoñ aadmī hai munfa.il
bārhā dasht-e-junūñ ko paaT kar bhī ai 'kalīm'
zindagī ko ham ne paayā maut hī se muttasil
alamiya ḳhud sa.ī-e-insāñ ke sivā kuchh bhī nahīñ
ik hijāb-e-ilm-o-irfāñ ke sivā kuchh bhī nahīñ
ik gurez-e-pur-ḳhajālat ke sivā kuchh bhī nahīñ
ik jihād-e-pur-shaqāvat ke sivā kuchh bhī nahīñ
zindagi tadbir-e-darman ke siwa kuchh bhi nahin
ek paiham kawish-e-jaan ke siwa kuchh bhi nahin
apne bas mein raushni hai apne bas mein tirgi
zindagi KHud sai-e-insan ke siwa kuchh bhi nahin
aql larzan har qadam par apni nadari se hai
jazba-e-dil shorish-e-jaan ke siwa kuchh bhi nahin
ilm-o-irfan ki ham-ahangi subur-e-dil se hai
aql-o-danish nur-e-irfan ke siwa kuchh bhi nahin
apni uljhan ka tasalsul apni kawish ka maal
alamiya KHud sai-e-insan ke siwa kuchh bhi nahin
nur-e-irfan apna hasil apna hasil tirgi
ye gurez-e-zindagi hai wo jihad-e-zindagi
ranj-o-rahat ki kashakash se wara hai zindagi
ijtihad-e-ilm-o-fan se ma-siwa hai zindagi
ek an-dekha bahao ek an-thak silsila
zindagi ke tajribe se mawara hai zindagi
ek hijr-e-be-aman hai ek koh-e-atishin
soz-e-jaan hai kya shuur-e-zist kya na-agahi
ek jihad-e-mustaqil ho ya gurez-e-mustaqil
apni nadari ke hathon aadmi hai munfail
barha dasht-e-junun ko paT kar bhi ai 'kalim'
zindagi ko hum ne paya maut hi se muttasil
alamiya KHud sai-e-insan ke siwa kuchh bhi nahin
ek hijab-e-ilm-o-irfan ke siwa kuchh bhi nahin
ek gurez-e-pur-KHajalat ke siwa kuchh bhi nahin
ek jihad-e-pur-shaqawat ke siwa kuchh bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.