album
nār-o-namrūd kā vo qissa to pārīna hai
kyā kahā
misr-o-kan.ān ke ta'alluq kī kahānī chheḌūñ
misr-o-kan.ān meñ kyā rakhā hai
niil kī lahroñ ke hamrāh chale the muusā
karne ġharqāb usī niil meñ kis ko āḳhir
aur shaddād
vo jannat kaisī
kis ke kyā ḳhvāb the kyā makr the kyā hiile the
aao sab dafn kareñ
kohna aurāq meñ kyā rakkhā hai
laao album vo zarā
dekheñ tasvīr na.ī
ḳhushbū-o-rang-o-dhanak bādal kī
haañ vahī qarya jo tahzīb kā gahvāra thā
dekh kar jis kā fusūñ
rāsta vāpsī kā kitne musāfir bhūle
tum ko ma.alūm nahīñ hai shāyad
uf ye tasvīr-e-siyah
ye siyah-rūh jo tārīk guphāoñ meñ rahā kartī thī
panja-e-ḳhūnīñ ne us ke āḳhir
ḳhitta-e-arz-e-muqaddas ko lahū-rez kiyā
kyā amīrān-e-ajam kaise faqīhān-e-haram
sab ke sab us kī hathelī meñ haiñ band
dekh ejāz-bayānī us kī
muñh chhupā.e hue
shahr-e-bābul kā sehr phirtā hai
pattharoñ ko kiyā raushan mash.al
aur shajar Tahnī ko uḌtā taa.ir
is ajab dhund ajab sehr meñ mad.hosh the sab
ki yakāyak girī tasvīr ik aur album se
dekhte kyā haiñ ki us ḳhitte ke ik goshe se
vāris-e-shahr garāñ-ḳhvāb uThe
qulba-rānī ne jinheñ azm-e-musammam baḳhshā
jism meñ Thoñkī huī kīleñ sabhī
noch kar pheñk hī diiñ
hosh aate hī chale qasr-e-muqaddas kī taraf
aur siyah-rūh vo tārīk guphā
jis ne is qasr-e-muqaddas ko kiyā thā masmūm
nātiqa sar-ba-garebāñ us kā
sāhirī shola-bayānī-o-adākārī sabhī gung
nar-o-namrud ka wo qissa to parina hai
kya kaha
misr-o-kanan ke ta'alluq ki kahani chheDun
misr-o-kanan mein kya rakha hai
nil ki lahron ke hamrah chale the musa
karne gharqab usi nil mein kis ko aaKHir
aur shaddad
wo jannat kaisi
kis ke kya KHwab the kya makr the kya hile the
aao sab dafn karen
kohna auraq mein kya rakkha hai
lao album wo zara
dekhen taswir nai
KHushbu-o-rang-o-dhanak baadal ki
han wahi qarya jo tahzib ka gahwara tha
dekh kar jis ka fusun
rasta wapsi ka kitne musafir bhule
tum ko malum nahin hai shayad
uf ye taswir-e-siyah
ye siyah-ruh jo tarik guphaon mein raha karti thi
panja-e-KHunin ne us ke aaKHir
KHitta-e-arz-e-muqaddas ko lahu-rez kiya
kya amiran-e-ajam kaise faqihan-e-haram
sab ke sab us ki hatheli mein hain band
dekh ejaz-bayani us ki
munh chhupae hue
shahr-e-babul ka sehr phirta hai
pattharon ko kiya raushan mashal
aur shajar Tahni ko uDta tair
is ajab dhund ajab sehr mein madhosh the sab
ki yakayak giri taswir ek aur album se
dekhte kya hain ki us KHitte ke ek goshe se
waris-e-shahr garan-KHwab uThe
qulba-rani ne jinhen azm-e-musammam baKHsha
jism mein Thonki hui kilen sabhi
noch kar phenk hi din
hosh aate hi chale qasr-e-muqaddas ki taraf
aur siyah-ruh wo tarik gupha
jis ne is qasr-e-muqaddas ko kiya tha masmum
natiqa sar-ba-gareban us ka
sahiri shola-bayani-o-adakari sabhi gung
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.