alfaz ka alamiya
maiñ apne dil kā kashkol-e-tahī le kar
na jaane kitnī sadiyoñ se
bhaTaktā phir rahā huuñ DhūñDhtā
har ik qarya har ik gaañv har ik ābādī vīrāna
har ik kūcha har ik gosha
mohabbat āfiyat iḳhlās hamdardī vafā
muravvat dostī aur āshtī amn-o-sukūñ
har ik dar pe sadā dī hai
har ik dar se javāb aayā
mohabbat āfiyat iḳhlās hamdardī vafā
muravvat dostī aur āshtī amn-o-sukūñ
ye sab tum kah rahe kyā ho
ye sab chīzeñ haiñ kyā
ye tum kis des kī karne lage bāteñ
ye sab kuchh aaj pahlī baar hī ham sun rahe haiñ haañ
koī alfāz bhī haiñ ye
koī mafhūm hai in kā
main apne dil ka kashkol-e-tahi le kar
na jaane kitni sadiyon se
bhaTakta phir raha hun DhunDhta
har ek qarya har ek ganw har ek aabaadi virana
har ek kucha har ek gosha
mohabbat aafiyat iKHlas hamdardi wafa
murawwat dosti aur aashti amn-o-sukun
har ek dar pe sada di hai
har ek dar se jawab aaya
mohabbat aafiyat iKHlas hamdardi wafa
murawwat dosti aur aashti amn-o-sukun
ye sab tum kah rahe kya ho
ye sab chizen hain kya
ye tum kis des ki karne lage baaten
ye sab kuchh aaj pahli bar hi hum sun rahe hain han
koi alfaz bhi hain ye
koi mafhum hai in ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.