alfaz-o-ma’ni
lafz
jo āvāz-e-dil kī
ik khulī tasvīr hai
mā'nī
us kī ruuh kā
ik rang hai ik nuur hai
bāhamī
gar rabt ho to
raushnī ho chār-sū
aise hī
alfāz-o-mā’nī kī hai mujh ko
justujū
lafz
jo aawaz-e-dil ki
ek khuli taswir hai
ma'ni
us ki ruh ka
ek rang hai ek nur hai
bahami
gar rabt ho to
raushni ho chaar-su
aise hi
alfaz-o-ma’ni ki hai mujh ko
justuju
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.