algani
ek hī pal meñ uchaT jaatī hai ye niiñd mirī
ek bijlī sī chamak jaatī hai in āñkhoñ meñ
yak-ba-yak tez phuvāreñ juuñ baras jaatī hoñ
aur āñgan meñ sukhāne ke liye sab kapḌe
tar-ba-tar ho ke lipaT jaate haiñ ik Dorī se
un ko maujūd hai ik Dor badan kī mānind
thartharātī huī aatī hai chalī jaatī hai
par havā un ko judā kar nahīñ saktī yaksar
jab talak suukh na jaa.e jo namī un meñ hai
rahte rahte tirī tasvīr ubhar aatī hai
merī āñkhoñ meñ kisī parda-e-sīmīñ kī tarah
yak-ba-yak tez phuvāreñ joñ baras jaatī haiñ
duur ik alganī sī hai vo mere paas nahīñ
ek hi pal mein uchaT jati hai ye nind meri
ek bijli si chamak jati hai in aankhon mein
yak-ba-yak tez phuwaren jun baras jati hon
aur aangan mein sukhane ke liye sab kapDe
tar-ba-tar ho ke lipaT jate hain ek Dori se
un ko maujud hai ek Dor badan ki manind
thartharaati hui aati hai chali jati hai
par hawa un ko juda kar nahin sakti yaksar
jab talak sukh na jae jo nami un mein hai
rahte rahte teri taswir ubhar aati hai
meri aankhon mein kisi parda-e-simin ki tarah
yak-ba-yak tez phuwaren jon baras jati hain
dur ek algani si hai wo mere pas nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.