alif aur be ke nam
jānāñ! kyā ye ho saktā hai
aaj kī shaam kahīñ nahīñ jaa.eñ
shor machāne vaale fiite
āvāzoñ se bhare tave
sab thoḌī der ko chup ho jaa.eñ
jānāñ! kyā ye ho saktā hai
is pyārī mashrūb ke paimāne bhī na chhalkeñ
jin ke bal-būte pe hamārī ḳhush-aḳhlāqī
aam huī hai
aur na mauzuāt ke laave muñh se ubleñ
aise log ki jin ke chehre bahut baḌe aur dil chhoTe haiñ
aaj hameñ sūrat na dikhā.eñ
thoḌī der ko tanhā.ī kī halkī ḳhunkī basī rahe
log gharoñ meñ aur botal almārī hī meñ sajī rahe
ham donoñ us kamre meñ hoñ
jis kī dīvāroñ pe hamāre sukh ke bandhan
tasvīroñ kī shakl meñ āvezāñ rahte haiñ
jis meñ rakkhe kaaTh ke ghoḌe
koT ke hāthī
sab ham ko takte rahte haiñ
jis meñ baiThī kāñch kī chiḌiyāñ
ham ko dekh ke Dar sī ga.ī haiñ
jis meñ rakkhī ka.ī kitābeñ
ham se ruuTh ke mar sī ga.ī haiñ
ham donoñ tanhā hoñ
thoḌī der ko gum-sum se baiTheñ
phir rafta rafta bāt-chīt ke
chhoTe chhoTe phuul khileñ
qurbat kī garmī se pashemānī ke aañsū
diye kī tarah se jal uTTheñ
jānāñ kyā ye ho saktā hai
ab bhī merā dil kahtā hai
shāyad aisā ho saktā hai
jaanan! kya ye ho sakta hai
aaj ki sham kahin nahin jaen
shor machane wale fite
aawazon se bhare tawe
sab thoDi der ko chup ho jaen
jaanan! kya ye ho sakta hai
is pyari mashrub ke paimane bhi na chhalken
jin ke bal-bute pe hamari KHush-aKHlaqi
aam hui hai
aur na mauzuat ke lawe munh se ublen
aise log ki jin ke chehre bahut baDe aur dil chhoTe hain
aaj hamein surat na dikhaen
thoDi der ko tanhai ki halki KHunki basi rahe
log gharon mein aur botal almari hi mein saji rahe
hum donon us kamre mein hon
jis ki diwaron pe hamare sukh ke bandhan
taswiron ki shakl mein aawezan rahte hain
jis mein rakkhe kaTh ke ghoDe
koT ke hathi
sab hum ko takte rahte hain
jis mein baiThi kanch ki chiDiyan
hum ko dekh ke Dar si gai hain
jis mein rakkhi kai kitaben
hum se ruTh ke mar si gai hain
hum donon tanha hon
thoDi der ko gum-sum se baiThen
phir rafta rafta baat-chit ke
chhoTe chhoTe phul khilen
qurbat ki garmi se pashemani ke aansu
diye ki tarah se jal uTThen
jaanan kya ye ho sakta hai
ab bhi mera dil kahta hai
shayad aisa ho sakta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.