alif laila
thak ga.ī raat masakne lagā ġhāza kā fusūñ
sard paḌne lagīñ gardan meñ hamā.il bāñheñ
farsh bistar pe bikharne lage afshāñ ke charāġh
muzmahil sī nazar aane lagīñ ishrat-gāheñ
zindagī kitne hī vīrānoñ meñ dam toḌ chukī
ab bhī miltī haiñ magar ġham kī fasurda rāheñ
jis tarah taaq meñ jal bujhtī haiñ sham.oñ kī qatār
zulmat-e-shab meñ jagātī huī kāshānoñ ko
ban ke rah jaatī hai tā-sub.h patañgoñ kā mazār
ḳhuun ke harfoñ meñ tahrīr hai dīvāroñ par
in ghisaTte hue ajsām ke ambāroñ meñ
dard ke ruḳh ko palaT dene kā maqdūr nahīñ
fikr ghabrā.ī huī phirtī hai bāzāroñ meñ
umr ik sail-e-ufūnat hai badar-rū kī misāl
ziist ik cha-ba-cha saḌtā huā gadlā paanī
jis se sairāb huā karte haiñ ḳhinzīr o shaġhāl
vaqt kī jaltī huī raakh se jhulse hue paañv
kī ghanī chhāñv meñ baiThe hue dil
karb-e-māzī ke girāñ bojh se Duubī nabzeñ
laakh chāheñ pe ubharne kā gumāñ lā-hāsil
ek mauhūm sī hasrat meñ jiye jaate haiñ
naam hī naam masarrat kā liye jaate haiñ
apnī be-ḳhvāb tamannā kā fasāna hai yahī
kal kī shab aur na.ī aur na.ī shab hogī
zindagī hogī na.ī aur kahānī bhī na.ī
sabr ai dost ki zulmat kī ghaḌī biit ga.ī
thak ga.ī raat masalne lagā ġhāza kā fusūñ
sard paḌne lagīñ gardan meñ hamā.il bāñheñ
thak gai raat masakne laga ghaza ka fusun
sard paDne lagin gardan mein hamail banhen
farsh bistar pe bikharne lage afshan ke charagh
muzmahil si nazar aane lagin ishrat-gahen
zindagi kitne hi viranon mein dam toD chuki
ab bhi milti hain magar gham ki fasurda rahen
jis tarah taq mein jal bujhti hain shamon ki qatar
zulmat-e-shab mein jagati hui kashanon ko
ban ke rah jati hai ta-subh patangon ka mazar
KHun ke harfon mein tahrir hai diwaron par
in ghisaTte hue ajsam ke ambaron mein
dard ke ruKH ko palaT dene ka maqdur nahin
fikr ghabrai hui phirti hai bazaron mein
umr ek sail-e-ufunat hai badar-ru ki misal
zist ek cha-ba-cha saDta hua gadla pani
jis se sairab hua karte hain KHinzir o shaghaal
waqt ki jalti hui rakh se jhulse hue panw
ki ghani chhanw mein baiThe hue dil
karb-e-mazi ke giran bojh se Dubi nabzen
lakh chahen pe ubharne ka guman la-hasil
ek mauhum si hasrat mein jiye jate hain
nam hi nam masarrat ka liye jate hain
apni be-KHwab tamanna ka fasana hai yahi
kal ki shab aur nai aur nai shab hogi
zindagi hogi nai aur kahani bhi nai
sabr ai dost ki zulmat ki ghaDi bit gai
thak gai raat masalne laga ghaza ka fusun
sard paDne lagin gardan mein hamail banhen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.