aligarh chhoDne ke baad
ham-nashīñ raat kī maġhmūm ḳhamoshī meñ mujhe
duur kuchh dhīmī sī naġhmoñ kī sadā aatī hai
jaise jaatī huī afsurda javānī kī pukār
jis ko sun sun ke mirī ruuh laraz jaatī hai
jaise ghaTtī huī maujoñ kā utartā huā shor
mutriba jaise koī duur nikal jaatī hai
yā havāoñ kā tarannum kisī vīrāne meñ
jaise tanhā.ī meñ doshīza koī gaatī hai
maiñ bahut ġhaur se naġhmāt sunā kartā huuñ
sach to ye hai ki mirī jaan pe ban jaatī hai
baar baar uTh ke maiñ jaatā huuñ sadāoñ kī taraf
lekin ik shai hai jo vāpas mujhe le aatī hai
chauñk uThtā huuñ jab us ḳhvāb se hairāñ ho kar
phir mujhe dūsrī duniyā hī nazar aatī hai
aah, vo bhuuk ke maare hue afrād hañseñ
jin kī sūrat pe qanā.at bhī taras khātī hai
jaise ujḌī huī mahfil ke kuchh afsurda charāġh
raushnī meñ jinheñ har gaam pe Thukrātī hai
aah vo hazrat-e-insān hī kā dard o sitam
jis kā iz.hār bhī karte hue sharm aatī hai
vo tarāne jo sunā kartā huuñ tanhā.ī meñ
un tarānoñ meñ mujhe bū-e-vafā aatī hai
gā.uñgā naġhme vo ta.amīr-e-mohabbat ke liye
mai-kada chhoḌ diyā jin kī ishā.at ke liye
ham-nashin raat ki maghmum KHamoshi mein mujhe
dur kuchh dhimi si naghmon ki sada aati hai
jaise jati hui afsurda jawani ki pukar
jis ko sun sun ke meri ruh laraz jati hai
jaise ghaTti hui maujon ka utarta hua shor
mutriba jaise koi dur nikal jati hai
ya hawaon ka tarannum kisi virane mein
jaise tanhai mein doshiza koi gati hai
main bahut ghaur se naghmat suna karta hun
sach to ye hai ki meri jaan pe ban jati hai
bar bar uTh ke main jata hun sadaon ki taraf
lekin ek shai hai jo wapas mujhe le aati hai
chaunk uThta hun jab us KHwab se hairan ho kar
phir mujhe dusri duniya hi nazar aati hai
aah, wo bhuk ke mare hue afrad hansen
jin ki surat pe qanaat bhi taras khati hai
jaise ujDi hui mahfil ke kuchh afsurda charagh
raushni mein jinhen har gam pe Thukraati hai
aah wo hazrat-e-insan hi ka dard o sitam
jis ka izhaar bhi karte hue sharm aati hai
wo tarane jo suna karta hun tanhai mein
un taranon mein mujhe bu-e-wafa aati hai
gaunga naghme wo tamir-e-mohabbat ke liye
mai-kada chhoD diya jin ki ishaat ke liye
- Book : Kulliyat Shakeel (Pg. 333)
- Publication : Fareed Book Depot Pvt. Ltd.
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.