ali-baba koi sim-sim
alī-bābā
ye ujlat himmatoñ ko past kartī hai
mohabbat rāste meñ maut ko tajvīz kartī hai
havas terī ghane jañgal se choroñ ko
mirī bastī meñ le aa.ī
vo chālīs chor.....
bastī ke galī-kūchoñ meñ ab maqtal sajāte haiñ
alī-bābā
ḳhazāna paane kī ujlat
tire maazī kī mahrūmī kā
abtar shāḳhāsana hai
ye terī bad-nasībī se bhī bad-tar ik fasāna hai
nahīñ hai koī marjīnā, tirī achchhī kanīzoñ meñ
jo bastī ko bachā letī
salāmat hai na terā ghar
na merā dil
na ab darbār-e-shāhāna?
tujhe kyā hai?
havas terī rahe baaqī
ye bastī aag kī tasvīr ho jaa.e
agar ye raakh kā hī Dher ho jaa.e
tujhe kyā hai?
kanīzoñ ḳhāsa-dāroñ aur ġhulāmoñ se
tujhe fursat nahīñ miltī
vahī baġhdād jis ke sab galī-kūche
kabhī the mah-vashoñ ke
gul-ruḳhoñ ke ā.īna-ḳhāne
sitāre āsmāñ se jhuk ke jin ko roz takte the
jo aurāq-e-musavvar the
vahāñ par dhuul uḌtī hai
har ik jānib ajal kī hukmarānī hai
zamīñ par aag jaltī hai
zamīñ par aag jaltī hai
alī-bābā
ḳhazāna paane kī masarrat se ziyāda ab
aziyyat hai
ḳhazāna paane kī ujlat
havas terī
ghane jañgal se choroñ ko mirī bastī meñ le aa.ī
koī sim-sim
koī bhī ism-e-āzam ab
hamārī mushkileñ āsāñ nahīñ kartā
koī darmāñ nahīñ kartā
ali-baba
ye ujlat himmaton ko past karti hai
mohabbat raste mein maut ko tajwiz karti hai
hawas teri ghane jangal se choron ko
meri basti mein le aai
wo chaalis chor
basti ke gali-kuchon mein ab maqtal sajate hain
ali-baba
KHazana pane ki ujlat
tere mazi ki mahrumi ka
abtar shaKHasana hai
ye teri bad-nasibi se bhi bad-tar ek fasana hai
nahin hai koi marjina, teri achchhi kanizon mein
jo basti ko bacha leti
salamat hai na tera ghar
na mera dil
na ab darbar-e-shahana?
tujhe kya hai?
hawas teri rahe baqi
ye basti aag ki taswir ho jae
agar ye rakh ka hi Dher ho jae
tujhe kya hai?
kanizon KHasa-daron aur ghulamon se
tujhe fursat nahin milti
wahi baghdad jis ke sab gali-kuche
kabhi the mah-washon ke
gul-ruKHon ke aaina-KHane
sitare aasman se jhuk ke jin ko roz takte the
jo auraq-e-musawwar the
wahan par dhul uDti hai
har ek jaanib ajal ki hukmarani hai
zamin par aag jalti hai
zamin par aag jalti hai
ali-baba
KHazana pane ki masarrat se ziyaada ab
aziyyat hai
KHazana pane ki ujlat
hawas teri
ghane jangal se choron ko meri basti mein le aai
koi sim-sim
koi bhi ism-e-azam ab
hamari mushkilen aasan nahin karta
koi darman nahin karta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.