allah kare
duniyā se laḌā.ī jhagḌā ye miT jaa.e sab allāh kare
mil-jul ke raheñ duniyā vaale duniyā meñ ab allāh kare
ilm aur adab se insāñ meñ sach-much insāniyat aatī hai
jo ilm-o-adab se kore haiñ sīkheñ vo adab allāh kare
allāh ke bande ham sab haiñ allāh ke bande ban ke raheñ
allāh kā banda banñe kā aa jaa.e Dhab allāh kare
allāh kī marzī apnā.eñ apnā.eñ aur phailā.eñ bhī
europe africa america jāpān-o-arab allāh kare
duniya se laDai jhagDa ye miT jae sab allah kare
mil-jul ke rahen duniya wale duniya mein ab allah kare
ilm aur adab se insan mein sach-much insaniyat aati hai
jo ilm-o-adab se kore hain sikhen wo adab allah kare
allah ke bande hum sab hain allah ke bande ban ke rahen
allah ka banda banne ka aa jae Dhab allah kare
allah ki marzi apnaen apnaen aur phailaen bhi
europe africa america japan-o-arab allah kare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.