allah kare wo din aae ye mulk bhi ho aazad kahin
allah kare wo din aae ye mulk bhi ho aazad kahin
Mohammad Shafiuddin Nayyar
MORE BYMohammad Shafiuddin Nayyar
kahne ko to yuuñ kah dete haiñ bhārat ko agar gaaḌī kahiye
to hindū aur musalmāñ haiñ is gaaḌī hī ke do pahiye
yā mādar-e-hind kī āñkhoñ ke hindū muslim do taare haiñ
ho jaa.eñ agar ye shīr-o-shakar phir kyā hai vāre-nyāre haiñ
jab baat ye hai to kyuuñ donoñ ik ik ko girānā chāhte haiñ
kyuuñ qasr-e-qaumiyyat kī binā ye donoñ Dhānā chāhte haiñ
gaaḌī jo chalānā chāhte ho pahiya koī nā-hamvār na ho
gar diid kā lutf uThānā hai to aañkh koī be-kār na ho
kyā ham-sāyoñ se laḌ paḌnā qur.ān sharīf meñ aayā hai
kyā ham-sāyoñ se shar karnā vedoñ ne kahīñ batlāyā hai
phir nāhaq kyuuñ apnī quvvat ko ham din-rāt gañvāte haiñ
ḳhud laḌte haiñ dukh bharte haiñ jo ġhair haiñ un ko hañsāte haiñ
yuuñ aapas meñ laḌte laḌte kyā jāniye kyā ho jā.eñge
ik din aisā aa jā.egā ham donoñ fanā ho jā.eñge
achchhā ye baat batā.e koī ab tak laḌ kar kyā paayā hai
in roz ke qissoñ jhagḌoñ se kyā haath hamāre aayā hai
ham āzādī tak kho baiThe is aapas hī kī laḌā.ī se
bhārat kī naav Dubo baiThe is aapas hī kī laḌā.ī se
is aapas hī kī laḌā.ī se iflās se ham do chaar hue
is aapas hī kī laḌā.ī se ham aise zalīl-o-ḳhvār hue
daulat jo sharaf kā baa.is thī ab saat samundar paar ga.ī
is aapas hī kī laḌā.ī se ik baar nahīñ sau baar ga.ī
be-koshish kuchh bhī mil jaa.e is dahr meñ ye dastūr nahīñ
haañ dil se koshish kar Dāleñ to achchhe din kuchh duur nahīñ
ho merī tamannā par 'nayyar' qudrat kī taraf se saad kahīñ
allāh kare vo din aa.e ye mulk bhī ho āzād kahīñ
kahne ko to yun kah dete hain bhaarat ko agar gaDi kahiye
to hindu aur musalman hain is gaDi hi ke do pahiye
ya madar-e-hind ki aankhon ke hindu muslim do tare hain
ho jaen agar ye shir-o-shakar phir kya hai ware-nyare hain
jab baat ye hai to kyun donon ek ek ko girana chahte hain
kyun qasr-e-qaumiyyat ki bina ye donon Dhana chahte hain
gaDi jo chalana chahte ho pahiya koi na-hamwar na ho
gar did ka lutf uThana hai to aankh koi be-kar na ho
kya ham-sayon se laD paDna quran sharif mein aaya hai
kya ham-sayon se shar karna wedon ne kahin batlaya hai
phir nahaq kyun apni quwwat ko hum din-raat ganwate hain
KHud laDte hain dukh bharte hain jo ghair hain un ko hansate hain
yun aapas mein laDte laDte kya jaaniye kya ho jaenge
ek din aisa aa jaega hum donon fana ho jaenge
achchha ye baat batae koi ab tak laD kar kya paya hai
in roz ke qisson jhagDon se kya hath hamare aaya hai
hum aazadi tak kho baiThe is aapas hi ki laDai se
bhaarat ki naw Dubo baiThe is aapas hi ki laDai se
is aapas hi ki laDai se iflas se hum do chaar hue
is aapas hi ki laDai se hum aise zalil-o-KHwar hue
daulat jo sharaf ka bais thi ab sat samundar par gai
is aapas hi ki laDai se ek bar nahin sau bar gai
be-koshish kuchh bhi mil jae is dahr mein ye dastur nahin
han dil se koshish kar Dalen to achchhe din kuchh dur nahin
ho meri tamanna par 'nayyar' qudrat ki taraf se sad kahin
allah kare wo din aae ye mulk bhi ho aazad kahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.