allama iqbaal
rind-e-mashriq tirī mastī meñ thī ḳhuddārī bhī
terī har baat meñ thī ek tarahdārī bhī
tere paimāne se chhalkī haiñ vo mai kī būñdeñ
jis kī ḳhushbū se mohabbat ke gulistāñ mahkeñ
terā mai-ḳhāna vo maktab hai jahāñ ahl-e-havas
pī ke ik jur'a-e-sahbā ko baneñ nek-nafas
zehn-o-afkār ke andāz ko badlā tū ne
aur kuuze meñ samundar ko samoyā tū ne
terī daulat se zamāne ko tab-o-tāb milī
fikr-o-ehsās ko ik jannat-e-shādāb milī
thā ‘ilāj-e-ġham-e-duniyā terī goyā.ī meñ
saare but toḌ diye ek hī añgḌā.ī meñ
ruḳh-e-urdu pe tirī fikr kā ik ġhāza hai
dil zamīñ kā hai tū āfāq kā āvāza hai
rind-e-mashriq teri masti mein thi KHuddari bhi
teri har baat mein thi ek tarahdari bhi
tere paimane se chhalki hain wo mai ki bunden
jis ki KHushbu se mohabbat ke gulistan mahken
tera mai-KHana wo maktab hai jahan ahl-e-hawas
pi ke ek jur'a-e-sahba ko banen nek-nafas
zehn-o-afkar ke andaz ko badla tu ne
aur kuze mein samundar ko samoya tu ne
teri daulat se zamane ko tab-o-tab mili
fikr-o-ehsas ko ek jannat-e-shadab mili
tha ‘ilaj-e-gham-e-duniya teri goyai mein
sare but toD diye ek hi angDai mein
ruKH-e-urdu pe teri fikr ka ek ghaza hai
dil zamin ka hai tu aafaq ka aawaza hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.