allahabad se
Interesting Fact
On 2nd February 1945, Sangam's bewitching land celebrated the birthday of the poet who wrote 'Jashn-e-Saal-girah'
allahabad meñ har-sū haiñ charche
ki dillī kā sharābī aa gayā hai
ba-sad āvārgī yā sad tabāhī
ba-sad ḳhāna-ḳharābī aa gayā hai
gulābī laao chhalkāo luñDhāo
ki shaidā-e-gulābī aa gayā hai
nigāhoñ meñ ḳhumār-e-bāda le kar
nigāhoñ kā sharābī aa gayā hai
vo sarkash rahzan-e-aivān-e-ḳhūbāñ
ba-azm-e-bāryābī aa gayā hai
vo rusvā-e-jahāñ nākām-e-daurāñ
ba-zo.am-e-kāmyābī aa gayā hai
butān-e-nāz-farmā se ye kah do
ki ik tark-e-shahābī aa gayā hai
navā-sanjān-e-sañgam ko batā do
harīf-e-fāryābī aa gayā hai
yahāñ ke shahr yāroñ ko ḳhabar do
ki mard-e-inqilābī aa gayā hai
allahabad mein har-su hain charche
ki dilli ka sharabi aa gaya hai
ba-sad aawargi ya sad tabahi
ba-sad KHana-KHarabi aa gaya hai
gulabi lao chhalkao lunDhao
ki shaida-e-gulabi aa gaya hai
nigahon mein KHumar-e-baada le kar
nigahon ka sharabi aa gaya hai
wo sarkash rahzan-e-aiwan-e-KHuban
ba-azm-e-baryabi aa gaya hai
wo ruswa-e-jahan nakaam-e-dauran
ba-zoam-e-kaamyabi aa gaya hai
butan-e-naz-farma se ye kah do
ki ek tark-e-shahabi aa gaya hai
nawa-sanjaan-e-sangam ko bata do
harif-e-faryabi aa gaya hai
yahan ke shahr yaron ko KHabar do
ki mard-e-inqilabi aa gaya hai
- Book : Kullyat-e-majaz (Pg. 169)
- Author : Asrarul Haque Majaz
- Publication : Kitabi Duniya (2006)
- Edition : 2006
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.