almiya khel ka ek kirdar
jab maiñ bachcha thā
raavī ke gāloñ se Dartā thā
ab dushman kī chāloñ se Dartā huuñ
mere bachpan meñ
aag kī atrāf
darāviḌ laḌkiyāñ giit gaatī thī
aur ab maiñ ek hotel meñ
band bajātā huuñ
aur lomḌī kī khaal se
apnā libās siitā huuñ
jab main bachcha tha
rawi ke galon se Darta tha
ab dushman ki chaalon se Darta hun
mere bachpan mein
aag ki atraf
darawiD laDkiyan git gati thi
aur ab main ek hotel mein
band bajata hun
aur lomDi ki khaal se
apna libas sita hun
- Book : chahaar khvaab (Pg. 171)
- Author : qamar jameel
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.