alwidaa
kisī ko alvidāa' kahne kī sā'at
kis qadar taklīf detī hai
bahut ranjūr kartī hai
ki jaise chaudhvīñ kā chāñd bādal oḌh le yak-dam
ki jaise sardiyoñ kī dopahar meñ shaam ho jaa.e
ki jaise Tuut jaa.e koī sāġhar haath meñ aa kar
ki jaise phuul khilte hī bahāreñ munharif ho jaa.eñ
ki jaise ik charāġhāñ ho magar āñdhī chalī aa.e
ki jaise ashk āñkhoñ se ḳhafā ho kar bichhaḌ jaa.eñ
kisī ko alvidāa' kahne kī sā'at
kis qadar taklīf detī hai
bahut ranjūr kartī hai
ki apnoñ ko binā dil kī ijāzat duur kartī hai
kisi ko alwidaa' kahne ki sa'at
kis qadar taklif deti hai
bahut ranjur karti hai
ki jaise chaudhwin ka chand baadal oDh le yak-dam
ki jaise sardiyon ki dopahar mein sham ho jae
ki jaise Tut jae koi saghar hath mein aa kar
ki jaise phul khilte hi bahaaren munharif ho jaen
ki jaise ek charaghan ho magar aandhi chali aae
ki jaise ashk aankhon se KHafa ho kar bichhaD jaen
kisi ko alwidaa' kahne ki sa'at
kis qadar taklif deti hai
bahut ranjur karti hai
ki apnon ko bina dil ki ijazat dur karti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.