amanat
maiñ ne tum se
faqat ek shaam māñgī thī
sukūn ke saath chand lamhāt
tumhāre saath guzārne ke liye
aur tum
vo shaam bhī na de sakī
yaqīn maano
tumhārī dī huī shaam
amānat rahtī mere paas
maiñ lauTā detā tumheñ
vo shaam vo amānat
jab bhī tum tanhā hotīñ
kisī shaam
haañ yaqīn maano
maiñ lauTā detā tumhārī vo shaam
tumhārī vo amānat
maiñ aaj bhī muntazir huuñ
us shaam kā
jab tum hoñgī
maiñ hūñgā
aur hamāre darmiyāñ
gar kuchh hoñgī
to hoñgī ḳhāmoshiyāñ sirf ḳhāmoshiyāñ
na tumhāre hoñTh kāñpeñge
na mere lab hileñge
na hogā koī fāsla
na hoñgī dūriyāñ
gar kuchh hoñgī
to hoñgī ḳhāmoshiyāñ
jo bahut kuchh kaheñgī kah jā.eñgī
āñkhoñ meñ
aur buneñgī alfāz mohabbat ke
ka.ī ka.ī rañgoñ meñ
aur mohabbat kā vo har rang
khil uThegā
tumhāre chhū bhar dene se
aur vo shaam
mere paas rah jā.egī
amānat kī tarah
kabhī tumheñ lauTāne ke liye
main ne tum se
faqat ek sham mangi thi
sukun ke sath chand lamhat
tumhaare sath guzarne ke liye
aur tum
wo sham bhi na de saki
yaqin mano
tumhaari di hui sham
amanat rahti mere pas
main lauTa deta tumhein
wo sham wo amanat
jab bhi tum tanha hotin
kisi sham
han yaqin mano
main lauTa deta tumhaari wo sham
tumhaari wo amanat
main aaj bhi muntazir hun
us sham ka
jab tum hongi
main hunga
aur hamare darmiyan
gar kuchh hongi
to hongi KHamoshiyan sirf KHamoshiyan
na tumhaare honTh kanpenge
na mere lab hilenge
na hoga koi fasla
na hongi duriyan
gar kuchh hongi
to hongi KHamoshiyan
jo bahut kuchh kahengi kah jaengi
aankhon mein
aur bunengi alfaz mohabbat ke
kai kai rangon mein
aur mohabbat ka wo har rang
khil uThega
tumhaare chhu bhar dene se
aur wo sham
mere pas rah jaegi
amanat ki tarah
kabhi tumhein lauTane ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.