amanat
ye maazī jo mirī tanhā.iyoñ ke saath rahtā hai
ye ik nādān bachche kī tarah tanhā.ī ko
ishāra kartā hai ThoḌī pakaḌ kar aur kahtā hai
vo dekho gaañv ke siine pe sar rakkhe hue sarsoñ
tumhārī kam-sinī khelī hai jis kī god meñ barsoñ
nuqūsh-e-pā se ab tak har galī kī maañg raushan hai
abhī tak god phailā.e hue Dere kā āñgan hai
rasīlī jāmunoñ ke peḌ kī kamzor shāḳhoñ ne
tumhārī uñgliyoñ kā har nishāñ mahfūz rakkhā hai
laboñ par jhiil kī gahrā.iyoñ ke hai bas ik shikva
ki jab se tum ga.e ho koī bhī ham tak nahīñ pahuñchā
kināre jhiil ke vo peḌ ab tak muntazir sā hai
kab aaoge yahāñ kapḌe utroge nahāo.ge
ye maazī jo mirī tanhā.iyoñ ke saath rahtā hai
ye ik nādān bachche kī tarah tanhā.ī ko
ishāra kartā hai ThoḌī pakaḌ kar aur kahtā hai
vo dekho gaañv ke khaliyānoñ meñ soyā huā jaadū
nashīlī raat kī raanī vo lau detī huī ḳhushbū
diyoñ kā dhīmī dhīmī raushnī denā dhuāñ denā
shikasta jhoñpaḌoñ kā zindagī ko loriyāñ denā
khanaktī haiñ rasoī ghar meñ alhaḌ chūḌiyāñ ab tak
bharā kī poliyāñ laatī haiñ sar par būḌhiyāñ ab tak
ke kināre kachchī īñToñ se banā mandir
sulagte kanDoñ se uThtī dhueñ kī malgajī chādar
hare khetoñ kī meñDoñ par sulagte jism ke saa.e
larazte hoñTh ghabrā.ī huī sāñsoñ ke afsāne
lachaktī aam kī shāḳhoñ pe bal khaa.e hue jhūle
kisī kā bhāgnā ye kah ke koī hai hameñ chhū le
ye dekho zindagī kitnī hasīñ hai kitnī bholī hai
usī āġhosh meñ aa jaao jis meñ aañkh kholī hai
ye maazī jo mirī tanhā.iyoñ ke saath rahtā hai
ye kahtā hai ki maiñ guzrī huī bātoñ meñ kho jā.ūñ
tumhārī zulf se mahkī huī rātoñ meñ kho jā.ūñ
ise maiñ kaise samjhā.ūñ ki ab ye saañs kā Dorā
ik aisī dhaar kī talvār hai jis par guzarnā hai
mujhe aur zindagī ke zaḳhm ko Tāñke lagānā haiñ
ise maiñ kaise samjhā.ūñ ki ye maazī kī tasvīreñ
ab ik aisī amānat haiñ jise maiñ rakh nahīñ sakta
agar rakkhūñ to nākāra nikammā kah ke ye duniyā
mujhe Thokar lagā de aur ḳhud aage ko baḌh jaa.e
mirī pasmāndgī par har nazar uTThe taras khaa.e
mujhe murda ajā.ib-ghar kī aisī mūrtī samjhe
jo sab ko is liye pyārī hai ki kaafī purānī hai
ye maazī jo mirī tanhā.iyoñ ke saath rahtā hai
ise maiñ kaise samjhā.ūñ ki ye maazī kī tasvīreñ
ab ik aisī amānat haiñ jise maiñ rakh nahīñ sakta
ye mazi jo meri tanhaiyon ke sath rahta hai
ye ek nadan bachche ki tarah tanhai ko
ishaara karta hai ThoDi pakaD kar aur kahta hai
wo dekho ganw ke sine pe sar rakkhe hue sarson
tumhaari kam-sini kheli hai jis ki god mein barson
nuqush-e-pa se ab tak har gali ki mang raushan hai
abhi tak god phailae hue Dere ka aangan hai
rasili jamunon ke peD ki kamzor shaKHon ne
tumhaari ungliyon ka har nishan mahfuz rakkha hai
labon par jhil ki gahraiyon ke hai bas ek shikwa
ki jab se tum gae ho koi bhi hum tak nahin pahuncha
kinare jhil ke wo peD ab tak muntazir sa hai
kab aaoge yahan kapDe utroge nahaoge
ye mazi jo meri tanhaiyon ke sath rahta hai
ye ek nadan bachche ki tarah tanhai ko
ishaara karta hai ThoDi pakaD kar aur kahta hai
wo dekho ganw ke khaliyanon mein soya hua jadu
nashili raat ki rani wo lau deti hui KHushbu
diyon ka dhimi dhimi raushni dena dhuan dena
shikasta jhonpaDon ka zindagi ko loriyan dena
khanakti hain rasoi ghar mein alhaD chuDiyan ab tak
bhara ki poliyan lati hain sar par buDhiyan ab tak
ke kinare kachchi inTon se bana mandir
sulagte kanDon se uThti dhuen ki malgaji chadar
hare kheton ki meinDon par sulagte jism ke sae
larazte honTh ghabrai hui sanson ke afsane
lachakti aam ki shaKHon pe bal khae hue jhule
kisi ka bhagna ye kah ke koi hai hamein chhu le
ye dekho zindagi kitni hasin hai kitni bholi hai
usi aaghosh mein aa jao jis mein aankh kholi hai
ye mazi jo meri tanhaiyon ke sath rahta hai
ye kahta hai ki main guzri hui baaton mein kho jaun
tumhaari zulf se mahki hui raaton mein kho jaun
ise main kaise samjhaun ki ab ye sans ka Dora
ek aisi dhaar ki talwar hai jis par guzarna hai
mujhe aur zindagi ke zaKHm ko Tanke lagana hain
ise main kaise samjhaun ki ye mazi ki taswiren
ab ek aisi amanat hain jise main rakh nahin sakta
agar rakkhun to nakara nikamma kah ke ye duniya
mujhe Thokar laga de aur KHud aage ko baDh jae
meri pasmandgi par har nazar uTThe taras khae
mujhe murda ajaib-ghar ki aisi murti samjhe
jo sab ko is liye pyari hai ki kafi purani hai
ye mazi jo meri tanhaiyon ke sath rahta hai
ise main kaise samjhaun ki ye mazi ki taswiren
ab ek aisi amanat hain jise main rakh nahin sakta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.